Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Laash Akbar Ki Jo Maqtal Se Utha Laaye Hussain

Ustad Sibte Jafar

1998Urdu
1998Urdu
Laash Akbar Ki Jo Maqtal Se Utha Laaye Hussain is a qadeemi Marsiya about the martyrdom of Shahzada Ali Akbar (AS) in Karbala. Written in the classical marsiya tradition and associated with the recitation of Ustad Shaheed Syed Sibte Jafar Zaidi, this elegy captures the grief of Imam Hussain (AS) and Bibi Bano as Ali Akbar’s wounded body is brought back from the battlefield. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Laash Akbar Ki Jo Maqtal Se Utha Laaye Hussain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Laash Akbar Ki Jo Maqtal Se Utha Laaye Hussain

Laash Akbar Ki Jo Maqtal Se Utha Laaye Hussain

Ustad Sibte Jafar

YouTube loads when you open Listen.

Laash Akbar Ki Jo Maqtal Se Utha Laaye Hussain

Ustad Sibte Jafar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Laash Akbar ki jo maqtal se utha laaye Hussain
Naujawan ko saf-e-awwal se utha laaye Hussain
Chand ko shaam ke baadal se utha laaye Hussain
Jaan-ba-lab sher ko jangal se utha laaye Hussain ×2
Di sada laash-e-pisar aan ke le ja Bano
Chhid gaya barchhi se Akbar ka kaleja Bano
Laash Akbar ki jo...

Dekh le aakhri deedaar, pisar marta hai
Saamne aankhon ke ye noor-e-nazar marta hai
Ab koi dam mein tera rashk-e-qamar marta hai
Munh se baahar hai zaban, tashna jigar marta hai ×2
Dam hai seene mein ruka, zakhmon se khoon jaari hai
Haye Bano, tera ghar lutne ki tayyari hai
Laash Akbar ki jo...

Pahunchi khaime mein jo Hazrat ki ye pur-dard sada
Muztarib ho gayi namoos-e-Rasool-e-Do-Sara
Kaha chilla ke Sakina ne ke haye haye bhaiya
Fizza dauri su-e-dar, phenk ke sar par se rida ×2
Sar peet ti Zainab-e-muztar nikal aayi baahar
Bano ghabra ke khule sar nikal aayi baahar
Laash Akbar ki jo...

Shah ke kaandhe pe dekha Ali Akbar ko nidhaal
Haath phaila ke ye chillayi ke haye haye mere laal
Kya ghazab ho gaya aye Badshah-e-nek-khisaal
Raas aaya na mere bachche ko atharwan saal ×2
Tukre teghon se badan ho gaya saara, haye haye
Kaun tha jis ne mere sher ko maara, haye haye
Laash Akbar ki jo...

Ro ke Bano se ye farmane lage Sarwar-e-Deen
Sar na peeto, abhi zinda hai mera maah-jabeen
Saans aati hai, pa har dam hai dam-e-baaz-paseen
Kooch inka bhi hai aur hum bhi hain marne ke qareen ×2
Sab chhute, ab na raha koi hamara Bano
Is jawan bete ke gham ne hamein maara Bano ×2
Laash Akbar ki jo...

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Year
1998
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.