Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Labbaik Ya Zainab

Mir Hasan Mir

2014Urdu
2014UrduSayyida ZainabMuharram
Labbaik Ya Zainab is an Urdu noha recited by Mir Hasan Mir, commemorating call of zainab and captivity in shaam. Read the Roman lyrics, original Urdu/Shahmukhi script and English translation with repeated refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2014
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Labbaik Ya Zainab (s.a) — Volume 2014

Lyrics

Labbaik Ya Zainab Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Labbaik Ya Zainab

Labbaik Ya Zainab

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Labbaik Ya Zainab

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Hal min naasirin yansuruna ×3
Ya Zainab, Ya Zainab ×2
Labbaik Ya Zainab ×2
Labbaik, labbaik Ya Zainab

Aa rahi hai rauza-e-Zainab se hal-min ki sada ×2
Ghir gayi hai Shaamiyon mein phir se Aal-e-Mustafa
Waqt rone ka nahin, yeh waqt hai labbaik ka
Labbaik, labbaik Ya Zainab

Kuchh nahin Zainab se barh kar, yeh bataana hai hamein
Fatima Zahra ko ek din munh dikhaana hai hamein
Rokna hai jo Baqiyya se chala hai silsila
Labbaik, labbaik Ya Zainab

Rone waale Karbala par uske dil ki aas hain
Maatami uski nazar mein baazu-e-Abbas hain
Maan rakhna hai hamein ab khwaahar-e-Shabbir ka
Labbaik, labbaik Ya Zainab

Kal bhi usne dukh uthaaye, thi magar dhaaras use
Ghairat-e-Abbas ban kar saath mein Sajjad hai
Aaj tanha reh gayi hai baani-e-farsh-e-aza
Labbaik, labbaik Ya Zainab

Kehte honge Shah se Abbas yeh rote hue
Main kate haathon se bhi lar lunga fauj-e-Shaam se
Bas mujhe ek baar, bas mujhe ek baar, Maula
Izn kar dijiye ata
Labbaik, labbaik Ya Zainab

Shaam, haaye Shaam, haaye Shaam
Haaye haaye Zainab, haaye haaye Shaam ×3

Chalne ki jo aadi na thi
Paidal wohi meelon chali
Durre kabhi, patthar kabhi ×2
Khaati rahi bint-e-Imam
Haaye haaye Zainab, haaye haaye Shaam ×2

Jaane sitam kaisa hua
Chehra lahu se chhup gaya
Bint-e-Ali se baap ka ×2
Lete the Shaami inteqaam
Haaye haaye Zainab, haaye haaye Shaam ×2

Akbar kare kaise bayaan
Deta hai jab koi azaan
Lagti hai seene par sina ×2
Aata hai jab Akbar ka naam
Haaye haaye Zainab, haaye haaye Shaam ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2014
Personalities
Sayyida Zainab, Hazrat Abbas, Imam Hussain, Imam Zainul Abidin, Sayyida Fatima Zahra
Occasion
Muharram
Themes
Call of Zainab, Protecting shrines, Captivity in Shaam
Original language
Urdu
Album
Labbaik Ya Zainab (s.a) — Volume 2014

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.