Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Mah e Muharram (Chand)

Mir Hasan Mir

2022Urdu
2022UrduImam HussainMuharram
Mah e Muharram (Chand), recited by Mir Hasan Mir in 2022 and written by Mir Takallum, expresses the grief of Bibi Fatima Sughra as she sees the new moon of Muharram while waiting in Madina for Imam Hussain and Ali Akbar to return. The noha reflects separation, longing and the tragedies unfolding in Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2022
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Ya AbalFazl (a.s)

Lyrics

Mah e Muharram (Chand) Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Mah e Muharram (Chand)

Mah e Muharram (Chand)

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Mah e Muharram (Chand)

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Sughra Ko Muharram Ka Jab Chand Nazar Aaya (x2)
Yaad-e-Sheh-e-Wala Ne Dil Aur Bhi Tarpaya

Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain (x3)

Aa Gaya Mah-e-Muharram Haan Nahi Aaye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Yaad Pardes Mein Aati Hai Lahad Amma Ki
Ghar Ka Ahwal Sunane Ko Kahan Jaye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Aap Aaye Na Khabar Aayi Na Akbar Na Aaye
Are Kaise Is Haal Mein Sughra Se Jiya Jaye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Jab Se Yeh Chand Muharram Ka Nazar Aaya Hai
Amma Roti Hai Tujhe Ae Mere Maa Jaye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Koi Tasveer To Zahra Ki Rahi Parde Mein
Haye Yeh To Achha Hua Sughra Ko Nahi Laye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Naam Par Shah Ne Akbar Ke Kharidi Hai Zameen
Kaise Jagir Tujhe Bhai Ki Dikhlaye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Eid Bhi Sog Ke Aalam Mein Guzari Usne
Haye Akbar Kabhi Kehti Thi Kabhi Haye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Haye Mustaqil Shah Ki Aankhon Se The Aansu Jari
Khat-e-Sughra Ko Mukammal Nahi Parh Paye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Haye Ik Ik Beti Se Rukhsat Hue Khaime Mein Magar
Haye Afsos Ke Sughra Se Na Mil Paye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Likh Ke Noha Yeh Takallum Ne Dua Maangi Hai
Har Azadar Ko Ashur Pe Bulwaye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2022
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Ya AbalFazl (a.s)

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.