Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Main Aa Raha Hoon Sakina

Mir Hasan Mir

2014Urdu
2014UrduBibi SakinaMuharram
Main Aa Raha Hoon Sakina is an Urdu noha recited by Mir Hasan Mir, commemorating hope of imam mahdi and sakina. Read the Roman lyrics, original Urdu/Shahmukhi script and English translation with repeated refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2014
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Labbaik Ya Zainab (s.a) — Volume 2014

Lyrics

Main Aa Raha Hoon Sakina Lyrics

WA

Haaye, haaye, haaye
Sakina, Sakina
Assalaamu alaiki ya Sayyidatana Ruqaiyya
Assalaamu alaiki ya binta Fatimat-az-Zahra, Sayyidati nisaa-il-aalameen
Assalaamu alaiki ya binta Hussain-ish-Shaheed
Sakina, Sakina ×2
Main aa raha hoon Sakina ×4

Hai bas khatm hone ko har imtihaan
Koi ghaib se de raha hai sada
Main aa raha hoon Sakina ×2, Sakina

Nigaahon mein meri hain ab tak woh lamhe
Rihaayi haram ko mili jis tarah se
Aseeron ko Aabid gaye jaise le ke
Tujhe bhi chhura kar main zindaan se
Bahut jald le jaaunga Karbala
Main aa raha hoon Sakina ×2, Sakina

Azadaari hoti thi ghurbat pe teri
Tere dil ko hoti thi kitni tasalli
Magar ab na maatam, na majlis hai koi
Tere paas tanhaaiyaan reh gayin
Raha ab na koi tera aasra
Main aa raha hoon Sakina ×2, Sakina

Lahu ban gaya kaise aankhon ka paani
Hui qatl Aabid ki kaise jawaani
Sununga main baazaar teri zabaani
Karunga main khud saath girya tere
Na ro Shahzaadi, thehar ja zara
Main aa raha hoon Sakina ×2, Sakina

Tujhe ab na pardesi koi kahega
Watan le ke tujhko yeh Mehdi chalega
Madina watan tha, Madina rahega
Tarapti hai milne ko beemaar se
Mila dunga Sughra se, waada mera
Main aa raha hoon Sakina ×2, Sakina

Nishaan hain ae Bibi jo rukh par tumhaare
Hain waise hi kuchh daagh dil par hamaare
Nazar mein hamaari yeh manzar hain saare
Baqiyya, Samarra, Karb-o-Bala
Chukaane badla har ek zulm ka
Main aa raha hoon Sakina ×2, Sakina

Palat kar na aaya jo darya se Ghazi
Kisi se bhi tune na phir maanga paani
Meri chhoti Zahra, tu kab se hai pyaasi
Bujhaane ko sadiyon ki tashna-labi
Tere paas khud ban ke saqqa tera
Main aa raha hoon Sakina ×2, Sakina

Takallum woh kehta yeh hoga tarap kar
Main hasrat se takta hoon khud tegh-e-Haider
Teri al-ajal ki sadaaon ko sun kar ×2
Usi tarah aata hai lab par mere
Kate sar ne tha jis tarah se kaha
Main aa raha hoon Sakina ×2, Sakina
Sakina, Sakina, Sakina, Sakina

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2014
Personalities
Bibi Sakina, Imam Mahdi, Imam Hussain, Imam Zainul Abidin, Bibi Sughra, Hazrat Abbas
Occasion
Muharram
Themes
Hope of Imam Mahdi, Captivity and reunion, Sakina
Original language
Urdu
Album
Labbaik Ya Zainab (s.a) — Volume 2014

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.