Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Maqam-e-Sahibaz-Zaman Hai Ye

Mir Hasan Mir

2016Urdu
2016UrduImam HussainMuharram
Maqam-e-Sahibaz-Zaman Hai Ye is a Noha recited by Mir Hasan Mir with poetry attributed to Mir Takallum. A lament at the site where Imam Hussain fell from his horse, voiced through the grief of Imam-e-Zamana. Explore the Roman Urdu lyrics, Urdu text, and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2016
Personalities
Imam Hussain, Imam Mahdi
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Al Aman Ya Sahib uz Zaman

Lyrics

Maqam-e-Sahibaz-Zaman Hai Ye Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Maqam-e-Sahibaz-Zaman Hai Ye

Maqam-e-Sahibaz-Zaman Hai Ye

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Maqam-e-Sahibaz-Zaman Hai Ye

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Ghareeb, ya Hussain
Ya Ghareeb
Suno ae ahl-e-aza dardnaak yeh manzar
Kisi ne poochha jo Qaaim Imam se ro kar
Imam roya karte hain kyun is maqaam par aa kar
To sar ko peet ke bole yeh Shah-e-jinn-o-bashar
Haaye
Na is maqaam pe kyun Askari ka chain gire
Yeh woh zameen hai jahaan zeen se Hussain gire
Na is maqaam pe kyun Askari ka chain gire ×2
Yeh woh zameen hai jahaan zeen se Hussain gire
Maqam-e-Sahibaz-Zaman hai yeh ×4

Isi maqaam pe ab tak Furaat roti hai
Gale lipat ke qaza se hayaat roti hai
Tamaam Karb-o-Bala saath saath roti hai
Hai ek maa jo yahaan saari raat roti hai
Na is maqaam pe kyun Askari ka chain gire
Yeh woh zameen hai jahaan zeen se Hussain gire
Maqam-e-Sahibaz-Zaman hai yeh ×2

Isi maqaam se Ghazi ko Shah ne di thi sada
Na dekha tumne hamaari laraayi ko bhaiyya
Yeh keh rahe the ke bas Hurmala ka teer laga
Ghareeb-e-Zahra yahaan zeen par sambhal na saka
Na is maqaam pe kyun Askari ka chain gire
Yeh woh zameen hai jahaan zeen se Hussain gire
Maqam-e-Sahibaz-Zaman hai yeh ×2

Har ek Imam ko khoon is jagah rulaaya gaya
Jo Shaamiyon ke tha bas mein woh zulm dhaaya gaya
Yahaan pe gher ke tishna-dahan ko laaya gaya
Gira kahaan, yahaan mazloom ko giraaya gaya
Na is maqaam pe kyun Askari ka chain gire
Yeh woh zameen hai jahaan zeen se Hussain gire
Maqam-e-Sahibaz-Zaman hai yeh ×2

Ajeeb haal mein dekha tha Shah ko maa ne
Na maut aati thi, na saans, itne zakhmi the
Isi maqaam pe Zahra ne apne bete ke
Badan se teer nikaale the apne haathon se
Na is maqaam pe kyun Askari ka chain gire
Yeh woh zameen hai jahaan zeen se Hussain gire
Maqam-e-Sahibaz-Zaman hai yeh ×2

Yahin pe Shimr ne socha ho kaise andaaza
Ke mar gaya hai ya zinda hai dilbar-e-Zahra
Khiyaam loot lo Zainab ke, di phir usne sada
Tarap ke uthte the Zainab ke naam par Maula
Na is maqaam pe kyun Askari ka chain gire
Yeh woh zameen hai jahaan zeen se Hussain gire
Maqam-e-Sahibaz-Zaman hai yeh ×2

Ali ke laal ki aankhon mein tha wahi manzar
Gire the jis jagah barchhi ke waar se Akbar
Jawaan laal ko rone ki aarzoo lekar
Yahin se ghutniyon chalte hue gaye Sarwar
Na is maqaam pe kyun Askari ka chain gire
Yeh woh zameen hai jahaan zeen se Hussain gire
Maqam-e-Sahibaz-Zaman hai yeh ×2

Chale the ghutniyon Akbar ki laash tak Maula
Yahaan se aage Takallum bayaan ho kya bhala
Ghareeb kaise bhala qatlgaah tak pahuncha
Yahin se zulfein pakar kar laeen le ke chala

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2016
Personalities
Imam Hussain, Imam Mahdi
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Al Aman Ya Sahib uz Zaman

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.