Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Maqtal e Imam Hussain

Mir Hasan Mir

2019Urdu
2019UrduImam HussainMuharram
Maqtal e Imam Hussain is a 2019 Urdu noha recited by Mir Hasan Mir with poetry by Mir Takallum Mir. From the Karbala Chalo album, it recounts the final moments of Imam Hussain in the battlefield of Karbala, his suffering, the grief of Bibi Zainab and the spiritual imagery surrounding his martyrdom.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2019
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Karbala Chalo

Lyrics

Maqtal e Imam Hussain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Maqtal e Imam Hussain

Maqtal e Imam Hussain

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Maqtal e Imam Hussain

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ghareeb-e-Zahra ki ghurbat suno aye Ahl-e-Aza ×2
Akela reh gaya maqtal mein jab mera Maula

Sipah-e-Shaam ne chaaron taraf se gher liya
Lab-e-Furaat tha har ek khoon ka pyaasa
Tha ghul charagh-e-Imamat abhi bujhana hai
Zameen pe zeen se Shabbir ko girana hai

Yeh sun ke sang kisi ne jabeen par maara
Kisi ne pehlu mein barchhi ka phal utaar diya
Kisi ne saamne aa kar chalayi tegh-e-jafa
Ghareeb-e-Zahra ka zeen par sambhalna mushkil tha
Ali-o-Zahra ko ran mein rulaya jata tha
Hussain girte nahi the, giraya jata tha

Haaye
Laga jo teer to Asghar ko Sheh ne yaad kiya
Pukara Ghazi ko jis waqt sar pe gurz laga
Lagi jo barchhi to Akbar ko di tarap ke sada
Tamacha Khauli ne maara to bole Ya Zahra
Ali ko yaad kiya sar pe zarb chalte hue
Hasan ko yaad kiya munh se khoon ugalte hue

Haaye
Zameen pe zeen se Hazrat jo munh ke bal aaye
Jo teer seene mein the pusht se nikal aaye
Nikal ke pehlu se sab barchhiyon ke phal aaye
Qaraar kis tarah ab Sheh ko ek pal aaye
Rakaab pairon se Ibn-e-Ali ki chhoot gayi
Tamam pasliyan Sibt-e-Nabi ki toot gayi

Raqam kiya hai yeh raavi ne dard ka manzar
Ke chalne wala tha jis dam Hussain par khanjar
Behan se aage khari thi Hussain ki dukhtar
Kaha yeh Shimr se us dam ghareeb ne ro kar
Meri Sakina kahin dam na tor de zalim
Reham kar mere baalon ko chhor de zalim

Haaye
Para tha dasht mein bejaan Batool ka beta
Hussain zinda hai kya, Shimr se kisi ne kaha
Qareeb ja ke yeh Shimr ne phir hans ke sada
Woh dekho aa gayi maqtal mein Sani-e-Zahra
Yeh sunte hi Shah-e-Dilgeer uth ke baith gaye
Behan ke naam pe Shabbir uth ke baith gaye

Haaye Hussain
Yeh keh ke aage barha haath mein liye khanjar
Udhar tarapne lagi ek laash darya par
Idhar khayyam se nikli Batool ki dukhtar
Ajeeb be-adabi Shimr ne yeh ki aa kar
Zara si bhi na murawwat dikhayi zalim ne
Kalam-e-Paak ko thokar lagayi zalim ne

Haaye
Ajab tarah se sitamgar yeh kar raha tha sitam
Kabhi Hussain ki zulfon mein haath the baaham
Pakar ke reesh-e-mubarak kabhi hansa azlam
Hataya baalon ko khanjar se Shimr ne ek dam
Kaha Hussain ne dekho zara Ali Akbar
Laeen ne rakh diya zaanu hamare seene par

Haaye
Chali jo zarb, farishton ne munh ko pher liya
Farishte kya the ke Nabiyon ne munh ko pher liya
Hate Nabi to Rasoolon ne munh ko pher liya
Chale Rasool to Waliyon ne munh ko pher liya
Hasan, Rasool, Ali bole ab Khuda jaane
Hussain jaane, gala jaane, Fatima jaane

Haaye
Ab is ke aage Takallum bayan kya hoga
Lagi jo zarbein na nikla lahu ka ek qatra
Laeen ghaiz mein aa kar sada yeh dene laga
Hussain jaldi bata mojiza yeh hai kaisa
Kaha ghareeb ne tu pyaar maa ka kya jaane
Gale pe mere gala rakh diya hai Zahra ne

Kaha Hussain ne Amma hata le apna gala
Mazeed aap hon zakhmi, yeh ho nahi sakta
Gale pe Shah ke khanjar laeen ka jo chala
Gale pe Shah ke khanjar laeen ka jo chala
Sada yeh aati thi Subhana Rabbiyal A'la
Pisar ka khoon baha Sayyeda ki godi mein
Sar-e-Hussain kata Fatima ki godi mein

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2019
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Karbala Chalo

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.