Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Matam e Shabbir

Irfan Haider

2022Urdu
2022UrduMuharram
Matam e Shabbir is a 2022 Noha recited by Irfan Haider and Nad e Ali, with poetry and composition by Raza Shah. It expresses devotion to Imam Hussain (AS), the traditions of Azadari, the loyalty of Hazrat Abbas (AS), and the passing of love for Ahlulbayt through generations. Read Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2022
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Matam e Shabbir Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Matam e Shabbir

Matam e Shabbir

Irfan Haider · Nad e Ali

YouTube loads when you open Listen.

Matam e Shabbir

Irfan Haider · Nad e Ali

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Hussain Ya Hussain Maula Hussain Ya Hussain
Matam-e-Shabbir, Matam-e-Shabbir
Yeh Matam-e-Shabbir Azadar Karenge
Matam-e-Shabbir Azadar Karenge

Dil Mein Basa Hai Ishq-e-Hussaini
Ishq Ka Yun Izhar Karenge
Yeh Matam-e-Shabbir, Yeh Matam-e-Shabbir
Matam-e-Shabbir Azadar Karenge
Hussain Ya Hussain Maula Hussain Ya Hussain

Shah Ki Aza Pe In Ka Pehra, Yeh Hain Dil-e-Zahra Ka Yaqeen
In Ka Alam Hai Sab Se Aage, In Se Aage Koi Nahi
Halqa-e-Matam Ki Salari
Ghazi Alamdar Karenge
Yeh Matam-e-Shabbir
Matam-e-Shabbir Azadar Karenge
Hussain Ya Hussain Maula Hussain Ya Hussain

Qama-Zani Zanjeer-Zani Se Apna Khoon Bahate Hain
Matamiyon Ke Khoon Ke Qatre Ek Diya Ban Jate Hain
Apne Lahu Se Yun Hi Ujale Shah Ke Pursadar Karenge
Yeh Matam-e-Shabbir
Matam-e-Shabbir Azadar Karenge
Hussain Ya Hussain Maula Hussain Ya Hussain

Dast-e-Ali Pe Baiyat Ki Hai, Denge Gawahi Arsh-o-Zameen
Hai Mera Rehbar Maula Haider, Mera Wali Aur Koi Nahi
Ghair Ki Baiyat Se Har Lamha Aaj Bhi Hum Inkar Karenge
Yeh Matam-e-Shabbir
Matam-e-Shabbir Azadar Karenge
Hussain Ya Hussain Maula Hussain Ya Hussain

Woh Jo Ghatata Hai Mimber Pe Aal-e-Nabi Ki Azmat Ko
Bhool Gaya Hai Woh Kufe Mein Lashkar-e-Zulm Ki Halat Ko
Dekhna Ek Din Tera Muqassir Hashr Wahi Mukhtar Karenge
Yeh Matam-e-Shabbir
Matam-e-Shabbir Azadar Karenge
Hussain Ya Hussain Maula Hussain Ya Hussain

Yeh Saare Noha Khwan-e-Hussaini In Ko Chuna Hai Zahra Ne
Yeh Saare Zakir, Saare Sana Khwan Parhte Hain Izn-e-Maula Se
Tum Jo Karoge In Ki Izzat Maula Bhi Tum Se Pyar Karenge
Yeh Matam-e-Shabbir
Matam-e-Shabbir Azadar Karenge
Hussain Ya Hussain Maula Hussain Ya Hussain

Mojiza Hai Yeh Ishq-e-Ali Ka Karta Hai Yeh Naslon Mein Safar
Is Mein Koi Do Raaye Nahi Hai Baap Ke Jaisa Hoga Pisar
Matamiyon Ki Auladon Par Apna Karam Sarkar Karenge
Yeh Matam-e-Shabbir
Matam-e-Shabbir Azadar Karenge
Hussain Ya Hussain Maula Hussain Ya Hussain

Un Ki Raza Hoti Hai Marzi Milta Hai Tab Irfan-e-Aza
Sahib-e-Alam Ki Janib Se Hone To Do Ailan-e-Aza
Sibt-e-Nabi Ke Sog Mein Matam
Ghar Ke Dar-o-Deewar Karenge
Yeh Matam-e-Shabbir
Matam-e-Shabbir Azadar Karenge
Hussain Ya Hussain Maula Hussain Ya Hussain

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2022
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.