Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aah Ya Hussain

Irfan Haider

2020Urdu
2020UrduImam HussainMuharram
Aah Ya Hussain is a 2020 Urdu noha recited by Irfan Haider and written by Allama Syed Akhtar Abbas Zaidi Al-Arabi. Through Bibi Fatima Zahra's lament during Imam Hussain's final moments at Karbala, the poetry remembers the martyrdom of Hazrat Abbas, Ali Akbar, Qasim and the companions of the Ahlulbayt. Read the noha in Roman Urdu, Urdu and English on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2020
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Aah Ya Hussain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aah Ya Hussain

Aah Ya Hussain

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Aah Ya Hussain

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Bayan Karta Hoon Main Waqt-e-Asr Ka Manzar
Tha Ek Khushk Gala Aur Shimr Ka Khanjar
Miyan-e-Khanjar-o-Sar Thi Hussain Ki Madar
Jo De Rahi Thi Sada Bekhata Hai Mera Pisar
Kahan Yeh Narm Gala (×2)
Aur Kahan Yeh Kund Chhuri
Hai Teen Roz Ka Pyasa Hussain Ibn-e-Ali

Ya Hussain (×6)

Ek Sayyid Ko Pardesi Ko Mehman Bana Kar Loot Liya
Dasht Mein Goonj Utha Zahra Ka Nauha
Aah Ya Hussain

Na Maro Na Maro Na Maro (×2)

Main Maa Hoon Bata Main Kaise Dekhoon Yeh Dard Ka Manzar
Sookha Hai Gala Pyase Ka Tu Rok Le Apna Khanjar
Khuda Ke Liye Ise Chhor De (×2)
Yeh Meri Saari Duniya Hai
Dasht Mein Goonj Utha Zahra Ka Nauha
Aah Ya Hussain

Abbas-e-Jari Ke Baazu Kaate Gaye Ran Mein Haaye
Ek Din Mein Mere Bachche Ne Kya Kya Na Zakhm Uthaye
Khuda Ke Liye Ise Chhor De (×2)
Abbas Ke Baad Yeh Tanha Hai
Dasht Mein Goonj Utha Zahra Ka Nauha
Aah Ya Hussain

Allah Re Jis Dam Akbar Ghore Se Zameen Par Aaya
Shabbir Ko Us Sadme Ne Ghutnon Ke Bal Chalwaya
Khuda Ke Liye Ise Chhor De (×2)
Hamshakl-e-Nabi Ka Baba Hai
Dasht Mein Goonj Utha Zahra Ka Nauha
Aah Ya Hussain

Armaan Dil-e-Shabbar Ke Yun Karbobala Mein Bikhre
Chunta Raha Maqtal Mein Yeh Qasim Ke Badan Ke Tukre
Khuda Ke Liye Ise Chhor De (×2)
Yeh Laasha Dhoond Ke Laaya Hai
Dasht Mein Goonj Utha Zahra Ka Nauha
Aah Ya Hussain

Seene Pe Lahoo Akbar Ka Chehre Pe Lahoo Asghar Ka
Shaanon Pe Lahoo Lashkar Ka Kya Haal Hua Sarwar Ka
Khuda Ke Liye Ise Chhor De (×2)
Yeh Tere Nabi Ka Nawasa Hai
Dasht Mein Goonj Utha Zahra Ka Nauha
Aah Ya Hussain

Hurr John-o-Habib Aur Muslim Maare Gaye Ran Mein Pyase
Laaya Hai Utha Ke Tanha Maqtal Se Sabhi Ke Laashe
Khuda Ke Liye Ise Chhor De (×2)
Kyun Itna Ise Tarpaya Hai
Dasht Mein Goonj Utha Zahra Ka Nauha
Aah Ya Hussain

Irfan-e-Aza Ka Akhtar Chamkega To Sab Dekhenge
Har Zarb Pe Yeh Zalim Se Main Kehti Rahi Ro Ro Ke
Khuda Ke Liye Ise Chhor De (×2)
Yeh Ahl-e-Aza Ka Qibla Hai
Dasht Mein Goonj Utha Zahra Ka Nauha
Aah Ya Hussain

Hussain Be-Kafan Hussain Be-Khata
Shaheed-e-Karbala Bina-e-La Ilah

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2020
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.