Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aagaya Aagaya Qaafela Aagaya

Irfan Haider

2012Urdu
2012UrduImam HussainMuharram
Aagaya Aagaya Qaafela Aagaya is a sorrowful noha recited by Irfan Haider about the return of the devastated caravan of the Ahlulbayt to Madina. Through the lament of Bibi Fizza and the grief of Bibi Sughra, it recounts the suffering of the martyrs of Karbala, the captivity of the Prophet's family, and their painful homecoming. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2012
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Diya Jalaye Rakhna Hai, Vol. 21

Lyrics

Aagaya Aagaya Qaafela Aagaya Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aagaya Aagaya Qaafela Aagaya

Aagaya Aagaya Qaafela Aagaya

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Aagaya Aagaya Qaafela Aagaya

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Sadaat Watan Aa Gaye (×3)

Bibi Fizza Ka Hai Marsiya
Jeet Ke Jung-e-Karbobala

Lut Ke Pardes Mein
Laut Kar Des Mein
Aagaya Aagaya Qaafela Aagaya (×2)

Ae Jawanan-e-Hashim Kahan Ho Suno
Haaye...
Koi Ja Kar Yeh Sughra Ko Paigham Do
Aa Ke Ujda Hua Qaafela Dekh Lo
Aa Ke Ujda Hua Qaafela Dekh Lo

Haaye...
Lut Ke Pardes Mein
Laut Kar Des Mein
Aagaya Aagaya Qaafela Aagaya (×2)

Yeh Hussaini Shaheedon Ka Hai Qaafela
Haaye...
Be-Kason Aur Aseeron Ka Hai Qaafela
Karbala Ke Yateemon Ka Hai Qaafela
Karbala Ke Yateemon Ka Hai Qaafela

Haaye...
Lut Ke Pardes Mein
Laut Kar Des Mein
Aagaya Aagaya Qaafela Aagaya (×2)

Pahunchi Sughra Ke Kaanon Mein Jab Yeh Sada
Khaak Udane Lagi Gham Se Woh Mehlaqa
Yeh Sada Sun Ke Dil Ho Gaya Karbala
Yeh Sada Sun Ke Dil Ho Gaya Karbala

Haaye...
Lut Ke Pardes Mein
Laut Kar Des Mein
Aagaya Aagaya Qaafela Aagaya (×2)

Bibi Fizza Ne Sughra Se Phir Yeh Kaha
Aa Sunaoon Tujhe Woh Sab Majra
Kaise Aal-e-Muhammad Ko Loota Gaya
Kaise Aal-e-Muhammad Ko Loota Gaya

Haaye...
Lut Ke Pardes Mein
Laut Kar Des Mein
Aagaya Aagaya Qaafela Aagaya (×2)

Do Muharram Ko Pahunche The Hum Karbala
Saatveen Se Hue Tishna-Lab Be-Khata
Qatl Subh-e-Dahum Ho Gaye Aqraba
Qatl Subh-e-Dahum Ho Gaye Aqraba

Haaye...
Lut Ke Pardes Mein
Laut Kar Des Mein
Aagaya Aagaya Qaafela Aagaya (×2)

Hamshabeeh-e-Payambar Ko Neza Laga
Tere Asghar Ki Gardan Pe Teer-e-Jafa
Laasha Maqtal Mein Qasim Ka Raunda Gaya
Laasha Maqtal Mein Qasim Ka Raunda Gaya

Haaye...
Lut Ke Pardes Mein
Laut Kar Des Mein
Aagaya Aagaya Qaafela Aagaya (×2)

Baad-e-Abbas Zulm-o-Sitam Ka Safar
Taqat-e-Sabr Hai To Kaho Noha-Gar
Kund Khanjar Tha Aur Fatima Ka Pisar
Kund Khanjar Tha Aur Fatima Ka Pisar

Haaye...
Lut Ke Pardes Mein
Laut Kar Des Mein
Aagaya Aagaya Qaafela Aagaya (×2)

Shaam-e-Ghurbat Gayi Aa Gayi Woh Sahar
Janib-e-Shaam Sayyedaniyon Ka Safar
Shaam, Koofa Se Zindaan Gaye Nange Sar
Shaam, Koofa Se Zindaan Gaye Nange Sar

Haaye...
Lut Ke Pardes Mein
Laut Kar Des Mein
Aagaya Aagaya Qaafela Aagaya (×2)

Noha Irfan-o-Mazhar Mukammal Hua
Ek Ek Lafz Fizza Ka Hai Marsiya
Dukhtar-e-Shah Ko Sun Ke Ghash Aa Gaya
Dukhtar-e-Shah Ko Sun Ke Ghash Aa Gaya

Haaye...
Lut Ke Pardes Mein
Laut Kar Des Mein
Aagaya Aagaya Qaafela Aagaya (×2)

Hussain Maula (×4)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2012
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Diya Jalaye Rakhna Hai, Vol. 21

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.