Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Matam Karo Shabbir Ka

Hassan Sadiq

2008Urdu
2008UrduImam HussainMuharram
Matam Karo Shabbir Ka is a 2008 Urdu noha recited by Hassan Sadiq, with poetry by Jawad Jaffri. The verses encourage mourning for Imam Hussain and remember his sacrifice, worship and the suffering of the Ahlulbayt at Karbala. Read Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2008
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Matam Karo Shabbir Ka

Lyrics

Matam Karo Shabbir Ka Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Matam Karo Shabbir Ka

Matam Karo Shabbir Ka

Hassan Sadiq

YouTube loads when you open Listen.

Matam Karo Shabbir Ka

Hassan Sadiq

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Hayya Ala Khairil Amal (×6)
Matam karo Shabbir ka, Zahra ki lo dua (×2)
Is se milega momino (×2) Jannat ka raasta
Hayya Ala Khairil Amal (×2)
Matam karo Shabbir ka, Zahra ki lo dua (×2)

Matam hai yeh usi ka jo Nabiyon ka naaz hai
Sadqe mein jiske aaj bhi qayam namaz hai
Hayya Ala Khairil Amal (×2)
Jisne sulagti ret pe sajda kiya ada
Is se milega momino Jannat ka raasta
Matam karo Shabbir ka, Zahra ki lo dua (×2)

Matam hai uska jisne watan chhoda, ghar diya
Jisne saron se Deen ka kashkol bhar diya
Hayya Ala Khairil Amal (×2)
Jisne jalaya khoon se Islam ka diya
Is se milega momino Jannat ka raasta
Matam karo Shabbir ka, Zahra ki lo dua (×2)

Matam hai uska jis pe qayamat guzar gayi
Bhai ki laash par bhi jo matam na kar saki
Hayya Ala Khairil Amal (×2)
Ghurbat pe jiski Shaam ka zindaan ro diya
Is se milega momino Jannat ka raasta
Matam karo Shabbir ka, Zahra ki lo dua (×2)

Azmat jo poochhte ho to Quran se poochh lo
Qurbani uski Shaam-e-Ghareeban se poochh lo
Hayya Ala Khairil Amal (×2)
Jisne bacha ke Deen ko sab kuch luta diya
Is se milega momino Jannat ka raasta
Matam karo Shabbir ka, Zahra ki lo dua (×2)

Aal-e-Nabi ke gham ke siwa koi gham na ho
Jawwad, Ya Hussain ki aawaz kam na ho
Hayya Ala Khairil Amal (×2)
Matam Ali ke laal ka jaari rahe sada
Is se milega momino Jannat ka raasta
Hayya Ala Khairil Amal (×6)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2008
Personalities
Imam Hussain, Sayyida Fatima Zahra, Sayyida Zainab, Imam Ali
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Matam Karo Shabbir Ka

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.