Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Mere Maula Aao

Mir Hasan Mir

2013Urdu
2013UrduImam MahdiMuharram
Mere Maula Aao is a an Urdu noha recited by Mir Hasan Mir, listed with his 2013 recitations. It reflects on supplication to imam-e-zamana. Read the Roman lyrics, Urdu script and English meaning, with the original refrain sequence preserved.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2013
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Ya Aba Abdullah (a.s) — Volume 2013

Lyrics

Mere Maula Aao Lyrics

WA

Al-ajal, ya Imam-e-Zamana ×2
Nazrein talaash karti hain tumko Shah-e-Zamaan
Phir de rahe hain Sheh ke azadaar imtehaan
Aahein, kahin pe nauhe, kahin par hain hichkiyaan
Ujre hue makaan hain, veeraan godiyaan
Rudaad apne gham ki sunaati hai kaainaat
Aakhri Hussain bulaati hai kaainaat

Mere Maula aao ke muddat hui hai
Sitam zaalimon ke uthaate uthaate
Tere dushmanon ki guzarti hai Maula
Tere doston ko sataate sataate

Guzarti hai jaisi guzaarenge Maula
Na haari hai himmat, na haarenge Maula
Sitam thak gaya hai, hue kund khanjar
Lahu mominon ka bahaate bahaate
Mere Maula aao ke muddat hui hai

Kahin nauha maatam, kahin aah-o-zaari
Safar Karbala ka musalsal hai jaari
Jhuke jaa rahe hain zaeefon ke kaandhe
Jawaanon ke laashe uthaate uthaate
Mere Maula aao ke muddat hui hai

Laeenon ne hum par mazaalim woh dhaaye
Jawaan-saal laashon pe laashon uthaaye
Chale hain shahaadat ka sehra sajaaye
Woh shaadi ka sehra sajaate sajaate
Mere Maula aao ke muddat hui hai

Jo behnein hain zinda to bhai nahin hain
Hain maa-baap baaqi to bete nahin hain
Jo bete hain baaqi to saaya nahin hai
Jigar kaanpta hai bataate bataate
Mere Maula aao ke muddat hui hai

Gharon se chale the jo purse ki khaatir
Woh maare gaye raaston mein musaafir
Kabhi jaate jaate juloos-e-aza mein
Kabhi Mashhad-o-Karbala jaate jaate
Mere Maula aao ke muddat hui hai

Thi Sughra ke lab par sada yeh duhaai
Chale aao Baba, chale aao bhai
Atakti hain seene mein ab meri saansein
Tumhein der ho jaaye na aate aate
Mere Maula aao ke muddat hui hai

Zabaan se jo ki baat usne nibhaayi
Na piya thanda paani, na saaye mein aayi
Zamaane se uthi hai Asghar ki maadar
Khalaon mein jhoola jhulaate jhulaate
Mere Maula aao ke muddat hui hai

Khuda jaanta hai woh kaisa tha manzar
Kaleje pe Aabid ke chalte the khanjar
Jawaani zaeefi ke dar par khari thi
Sakina ki turbat banaate banaate
Mere Maula aao ke muddat hui hai

Takallum ki aur Haidari ki dua hai
Har ek simt maatam hai, aah-o-buka hai
Na aisa ho hum bhi lahad mein yeh bolein
Bahut der ki mehrbaan aate aate
Mere Maula aao ke muddat hui hai

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2013
Personalities
Imam Mahdi, Imam Hussain, Bibi Sakina, Ali Asghar
Occasion
Muharram
Themes
Supplication to Imam-e-Zamana
Original language
Urdu
Album
Ya Aba Abdullah (a.s) — Volume 2013

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.