Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Mujhe Bhi Watan Le Chalo

Mir Hasan Mir

2011Urdu
2011UrduBibi SakinaMuharram
Mujhe Bhi Watan Le Chalo, recited by Mir Hasan Mir (Volume 2011), is a noha about departure of captives from shaam. Read the Roman Urdu, Urdu script and English translation, preserving the original stanza order and refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2011
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Ya Mehdi Ya Mehdi (ajf) — Volume 2011

Lyrics

Mujhe Bhi Watan Le Chalo Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Mujhe Bhi Watan Le Chalo

Mujhe Bhi Watan Le Chalo

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Mujhe Bhi Watan Le Chalo

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Jab riha Shaam ke zindaan se hue ahl-e-haram
Kya khushi hoti, dubaala hua Saadaat ka gham
Jisko armaan-e-rihaai tha, hui woh be-dam
Ek nanhi si lahad par tha musalsal maatam
Sun ke faryaad-o-fughaan saans ruki jaati thi
Qabr se baali Sakina ki sada aati thi

Watan jaane waalon, mujhe bhi watan le chalo
Mujhe bhi watan le chalo
Main kaise rahungi yahaan par?
Yahaan hai bhala kaun mera?
Mujhe bhi watan le chalo

Riha ho ke ghar jaane waalon, mujhe bhi kahin par bitha lo
Shaheedon ke sar hain jahaan par, mujhe bhi wahin par sula do
Main Baba ke sar se lipat kar safar kaat lungi yeh saara
Mujhe bhi watan le chalo

Na yoon chhor kar jaao Amma, mujhe Shaamiyon ke sahaare
Yateemi ki maari hui ko sataaya bahut zaalimon ne
Bahut khauf aata hai mujhko, tumhein waasta Sayyida ka
Mujhe bhi watan le chalo

Suna hai ke waapas mile hain tumhein Shimr se mere gauhar
Bhala kya karoge tum unka agar reh gayi main yahaan par?
Inhein bhi amaanat samajh kar ya dafna do zindaan mein ya
Mujhe bhi watan le chalo

Jo pahuncho Madina to Amma, phir waqt-e-museebat na aaye
Sina aur Akbar ki baatein sunaane ki naubat na aaye
Meri laash ko dekh kar hi samajh legi har baat Sughra
Mujhe bhi watan le chalo

Yehi soch kar zer-e-turbat tarapta hai dukhiya ka laasha
Mujhe Shimr ke shehr mein ab hamesha hi rehna parega
Dharakta nahin phir bhi Amma, yeh dil kaanp jaata hai mera
Mujhe bhi watan le chalo

Sar-e-Shah-e-Deen kuch to bolo, sifaarish karo kuch hamaari
Qaza aa gayi hai to phir kya, main beti hoon Baba tumhaari
Na inkaar kar paayengi woh, phuphi se zara keh do Baba
Mujhe bhi watan le chalo

Yeh haalat thi har ek qadam par Madine ke raste mein, Akbar
Giri thi jahaan par Sakina, tamaache lage the jahaan par
Wahaan khaak se qaidiyon ko sadaaein yeh aati thin har jaa
Mujhe bhi watan le chalo

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2011
Personalities
Bibi Sakina, Imam Hussain, Sayyida Zainab
Occasion
Muharram
Themes
Departure of captives from Shaam
Original language
Urdu
Album
Ya Mehdi Ya Mehdi (ajf) — Volume 2011

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.