Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Mujhe Shaam Ne Maar Diya

Mir Hasan Mir

2012Urdu
2012UrduImam Zainul AbidinMuharram
Mujhe Shaam Ne Maar Diya, recited by Mir Hasan Mir (Volume 2012), is a noha about grief of Imam Zainul Abidin remembering shaam. Read the Roman Urdu, Urdu script and English translation, preserving the original stanza order and refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2012
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Shaam Ne Mardiya — Volume 2012

Lyrics

Mujhe Shaam Ne Maar Diya Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Mujhe Shaam Ne Maar Diya

Mujhe Shaam Ne Maar Diya

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Mujhe Shaam Ne Maar Diya

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Shaam, haaye Shaam ×4
Abid se jab watan mein kisi ne kiya kalaam
Guzre kahaan pe zyaada jafa tum pe, ya Imam?
Hazrat ne teen baar kaha Shaam, Shaam, Shaam
Sar-nange saara kunba tha aur gird khaas-o-aam
Bewaaon ka naam le ke adoo shaad hote the
Baba ka sar bhi rota tha aur hum bhi rote the

Haaye, Shaam ne maar diya
Haan, mujhe Shaam ne maar diya
Jab tak bhi rahe zinda ×2
Sajjad ka nauha tha
Haaye, Shaam ne maar diya

Kaise na bahe khoon aankhon se
Khanjar hi chala hai aisa
Dam meri jawaani tor chuki
Baazaar hai maqtal mera
Wallah main zinda hoon ×2
Kehne ke liye warna
Haaye, Shaam ne maar diya

Phir jaata hai meri nazron mein
Baazaar-e-Shaam ka manzar
Mehsoos yeh hota hai mujhko
Hai saath phuphi be-chaadar
Tai mujhse nahin hota ×2
Baazaar Madine ka
Haaye, Shaam ne maar diya

Kehti hai shariyat sar na khule
Aawaaz-e-azaan jab aaye
Par ahl-e-haram sar par apne
Haathon ko bhi rakh na paaye
Rassi mein aseeron ko ×2
Is tarah se jakra tha
Haaye, Shaam ne maar diya

Ho yaad ×2
Jadon taan chup chup Sajjad rehnda
Usse haal koi na kehna Shaam da bazaar da
Jehre zulm dekhe Abid ×2
Dhundiyaan de safar

Meeraas shahaadat hai meri
Kya yeh bhi mera wirsa tha?
Phuphiyon ko liye jo be-chaadar
Is shehr se main guzra tha
Sajjad ka maqtal hai ×2
Is shehr ka har koocha
Haaye, Shaam ne maar diya

Jab haath dua ko uthte hain
Dil gham se mera phatta hai
Aati hai Sakina yaad mujhe
Mehsoos yehi hota hai
Jaise mere haathon par ×2
Rakkha hai koi laasha
Haaye, Shaam ne maar diya

Gar ahl-e-Madina tum apne
Ghar mujhko bulaana chaaho
Khushiyon mein nahin aa sakta kabhi
Majlis ka farsh bichhaao
Baaqi nahin khushiyon se ×2
Ab koi mera rishta
Haaye, Shaam ne maar diya

Baazaar mein Zainab ka jaana
Kya maut se kam eeza thi?
Kyun zehr diya zaalim mujhko
Ab iski zaroorat kya thi?
Pehle hi Takallum jab ×2
Kehta tha mera Maula
Haaye, Shaam ne maar diya ×3
Haan, mujhe Shaam ne maar diya ×3

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2012
Personalities
Imam Zainul Abidin, Sayyida Zainab, Bibi Sakina, Imam Hussain
Occasion
Muharram
Themes
Grief of Imam Zainul Abidin remembering Shaam
Original language
Urdu
Album
Shaam Ne Mardiya — Volume 2012

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.