Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Na Kar Qubool Madine Hamare Aane Ko

Mir Hasan Mir

2013Urdu
2013UrduSayyida ZainabMuharram
Na Kar Qubool Madine Hamare Aane Ko is a an Urdu noha recited by Mir Hasan Mir, listed with his 2013 recitations. It reflects on return of captives to madina. Read the Roman lyrics, Urdu script and English meaning, with the original refrain sequence preserved.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2013
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Ya Aba Abdullah (a.s) — Volume 2013

Lyrics

Na Kar Qubool Madine Hamare Aane Ko Lyrics

WA

Mat kar qabool, mat kar hamein qabool, ae Nana ke Madine
Madina aa gaya jab yeh sada ubharne lagi
Yeh pusht-e-naaqa se Kulsoom bain karne lagi
Luta ke aaye hain Zahra ke hum gharaane ko
Na kar qabool Madine hamaare aane ko ×2

Luta ke aaye hain Zahra ke hum gharaane ko
Na kar qabool Madine hamaare aane ko ×2

Bataayein kaise jo hum par guzar gaya Mehshar
Sar-e-Hussain tarapta tha nok-e-naiza par
Har ek shehar mein maare gaye hamein patthar
Hamaare chehron ki jaanib thi Shaamiyon ki nazar
Na haath bhi the yeh aazaad munh chhupaane ko
Na kar qabool Madine hamaare aane ko ×3

Bichhar ke apni behen se dobaara mil na saki
Woh dil mein le gayi hasrat Madine aane ki
Museebaton ke andheron mein chal basi bachchi
Hamein rihaai mili, woh hai aaj bhi qaidi
Basa liya hai Sakina ne qaid-khaane ko
Na kar qabool Madine hamaare aane ko ×3

Madina lut gayi Sarkaar tere waale ki
Mere Hussain ke surkh gale pe tegh chali
Bacha na Aabid-e-beemaar ke siwa koi
Hamaari godiyaan pardes mein hui khaali
Qadam uthaaye nahin jaate ghar mein aane ko
Na kar qabool Madine hamaare aane ko ×3

Gali gali mein phiraaya gaya ghareebon ko
Qadam qadam pe rulaaya gaya ghareebon ko
Bichha ke kaante chalaaya gaya ghareebon ko
Tamaasha-beenon mein laaya gaya ghareebon ko
Sawaab samjha gaya hai hamein sataane ko
Na kar qabool Madine hamaare aane ko ×3

Na likh sakega Takallum samaan woh tera qalam
Thi gird Ahl-e-Madina, ajeeb tha aalam
Yeh keh ke naaqon se utre siyaah-posh haram
Yahaan pe chain se hoga Hussain ka maatam
Taras gaye the hum ashk-e-aza bahaane ko
Na kar qabool Madine hamaare aane ko ×4

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2013
Personalities
Sayyida Zainab, Imam Hussain, Bibi Sakina, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram
Themes
Return of captives to Madina
Original language
Urdu
Album
Ya Aba Abdullah (a.s) — Volume 2013

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.