Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Pehlu Bhi Shikasta Hai

Mir Hasan Mir

2010Urdu
2010UrduSayyida Fatima ZahraMuharram
Pehlu Bhi Shikasta Hai, recited by Mir Hasan Mir (2010), is an Urdu noha reflecting on the grief and sacrifices of the Ahlulbayt. Read the original Roman lyrics, Urdu script, and an English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2010
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Pehlu Bhi Shikasta Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Pehlu Bhi Shikasta Hai

Pehlu Bhi Shikasta Hai

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Pehlu Bhi Shikasta Hai

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Sayyida ×4
Pehlu bhi shikasta hai, turbat bhi shikasta hai ×3
Kya haal yeh ummat ne ×2, Zahra ka banaaya hai

Khatoon koi gham se yun choor nahin dekhi
Aisi koi duniya mein mastoora nahin dekhi
Athaarah baras mein hi lagti jo zaeefa hai

Darbaar mein zaalim ne ki aisi pazeeraai
Kis tarah se tu Bibi phir laut ke ghar aayi
Baalon ki safedi ne sab haal sunaaya hai

Tu roti rahi ghar mein Haider se bhi chhup chhup ke
Ismat ki tarah dukh bhi parde mein rahe tere
Kuch dard tere Bibi bas jaanti Fizza hai

Do aise janaaze hain taareeki mein jo uthe
Bas ghar ke hi logon ne donon ko diye kaandhe
Ek Fatima Zahra hai, ek baali Sakina hai

Marham tere zakhmon ka Bibi na mila ab tak
Aulaad-e-Umayya ki baaqi hai jafa ab tak
Rone pe bhi pehra tha, turbat pe bhi pehra hai

Mismaar tera rauza ummat ne kiya jab se
Baba tera rehta hai turbat pe teri tab se
Kab gumbad-e-khizra mein Baba tera rehta hai [unclear source line]

Mehdi se koi poochhe kya us pe guzarti hai
Aawaaz Baqi se jab rone ki aati hai
Aankhon se lahu ro kar woh bhi yehi kehta hai

Tasveer haqeeqat ki khwaabon ko bana deejiye
Ae Bibi, Takallum ko taabeer dikha deejiye
Matam teri turbat pe hote hue dekha hai

Hasrat hai yehi Maula har matami seene mein
Aap aayein to ho maatam jee bhar ke Madine mein
Har matami seene par likha yeh areeza hai

Woh Karbobala ho ya Mashhad ho ke Samarra
Yathrib ho, Najaf ho ya zindaan ka darwaaza
Har simt yehi Bibi jaari tera girya hai

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2010
Personalities
Sayyida Fatima Zahra, Imam Ali, Bibi Sakina, Imam Mahdi
Occasion
Muharram
Themes
Suffering of Sayyida Fatima Zahra, Jannat al-Baqi, Grief of Ahlulbayt
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.