Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Qaid Khane Se Sakina Ki Ye Aati Thi Sada

Mir Hasan Mir

2017Urdu
2017UrduImam HussainMuharram
Qaid Khane Se Sakina Ki Ye Aati Thi Sada is a 2017 Noha recited by Mir Hasan Mir, with poetry attributed to Hasnain Akbar. The lament depicts the suffering of Bibi Sakina (s.a.) in captivity after Karbala, drawing a poetic parallel between her injuries and those of her grandmother, Bibi Fatima Zahra (s.a.).Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2017
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu
Album
Zameen e Karbala Walay

Lyrics

Qaid Khane Se Sakina Ki Ye Aati Thi Sada Lyrics

WA

Haye Sakina, haye Sakina
Haye Sakina

Haye, haye
Samajh ke Zahra sataya gaya Sakina ko
Qadam qadam pe rulaya gaya Sakina ko
Woh zakhm aaj bhi taaza hai pusht-e-naaqa se
Haye, giri nahin hai, giraya gaya Sakina ko
Haye, haye

Qaid khane se Sakina ki yeh aati thi sada
Pasliyan toot gayin meri bhi dadi ki tarah

Mujh ko chalte hue naaqe se giraya Baba
Pasliyan toot gayin meri bhi dadi ki tarah

Ho gayi chaar baras mein hi Sakina Zahra
Pasliyan toot gayin meri bhi dadi ki tarah

Qaid khane se Sakina ki yeh aati thi sada
Pasliyan toot gayin meri bhi dadi ki tarah

Woh bhi dada se chhupati rahi apna pehlu
Mujh se bhi dekhe na jayenge Ali ke aansu ×2
Jeete ji mere mera zakhm na dekhein bhaiya
Pasliyan toot gayin meri bhi dadi ki tarah

Kaise aayi hoon main bazaar se ho kar Baba
Mujh ko maare gaye is zakhm pe patthar Baba ×2
Ro ke main kehti rahi phir bhi kisi ne na suna
Pasliyan toot gayin meri bhi dadi ki tarah

Haye
Ab samajh sakti hoon kis tarah woh soti hongi
Haath pehlu pe rakhe kaise tadapti hongi
Karwatein dard mujhe bhi nahin lene deta
Pasliyan toot gayin meri bhi dadi ki tarah

Hoobahoo Fatima Zahra si zaeefi chhayi
Jhurriyan chehre pe, baalon mein safedi aayi ×2
Ek kami baaqi thi woh bhi hui poori Baba
Pasliyan toot gayin meri bhi dadi ki tarah

Saath sooraj ke yeh dil doob raha hota hai
Amma kehti hai yehi waqt-e-dua hota hai ×2
Roz karti hoon sar-e-shaam main marne ki dua
Pasliyan toot gayin meri bhi dadi ki tarah

Ja ke jannat mein bhi aaram nahin payega
Kya yeh armaan mere dil mein hi reh jayega
Kaise godi mein uthaungi main Asghar ko bhala
Pasliyan toot gayin meri bhi dadi ki tarah

Aap ka sar jale daaman mein uthane ke liye
Haath darbaar mein mushkil se uthaye maine
Tum ko us waqt bhi maine na bataya Baba
Pasliyan toot gayin meri bhi dadi ki tarah

Gir padi khaak pe namoos-e-Nabi peet ke sar
Qaid khane mein hui aur qayamat Akbar
Le ke sar baap ka bachchi ne jo ro ro ke kaha
Pasliyan toot gayin meri bhi dadi ki tarah

Qaid khane se Sakina ki yeh aati thi sada
Pasliyan toot gayin meri bhi dadi ki tarah
Haye Zahra, haye Sakina

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2017
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Original language
Urdu
Album
Zameen e Karbala Walay

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.