Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Riwayat-e-Mukhtar

Mir Hasan Mir

2014Urdu
2014UrduImam HussainMuharram
Riwayat-e-Mukhtar is an Urdu noha recited by Mir Hasan Mir, commemorating karbala remembrance and mukhtar's court. Read the Roman lyrics, original Urdu/Shahmukhi script and English translation with repeated refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2014
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Labbaik Ya Zainab (s.a) — Volume 2014

Lyrics

Riwayat-e-Mukhtar Lyrics

WA

Haaye
Ae rone waalo, hai yeh riwaayat mein likha
Jis dam qayaam Kufe mein Mukhtar ne kiya
Jo bhi the qaatilaan-e-shaheedaan-e-Karbala
Un mein se koi jab bhi giraftaar hota tha
Hukm-e-Ameer par woh sitam jab sunaata tha
Mukhtar sar ko peet ke bas rota jaata tha

Haaye
Ek roz tha yeh Kufe ke darbaar ka samaan
Ibn-e-Numair apne sitam karta tha bayaan
Tori thi maine seena-e-Akbar mein khud sinaan
Uthta tha shor khaimon se: maara gaya jawaan
Maa jeete ji guzar gayi, Zainab bhi mar gayi
Ek barchhi mere kitne jigar paar kar gayi

Haaye
Ek roz kar ke laaya gaya Hurmala aseer
Bola woh ran mein maine chalaaye the teen teer
Us waqt pehla teer chalaaya tha ae Ameer
Bhar kar chala jo mashk to mazloom ka safeer
Mashkeeze se jo teer mera paar ho gaya
Aisa laga ke qatl Alamdar ho gaya

Haaye
Bola laeen, yeh Karb ka hai doosra maqaam
Laaye jo apni god mein be-sheer ko Imam
Sookhi zabaan phiraata tha honton pe tishna-kaam
Yun qata Ibn-e-Zahra ka maine kiya kalaam
Hil hil gaya lahad mein jigar Bu Turab ka
Maqtal mein nehr ho gaya bachcha Rabab ka

Haaye
Darbaar mein yeh sun ke qayaamat ka tha samaan
Peer-o-jawaan rote the le le ke hichkiyaan
Bola yeh Hurmala, abhi baaqi hai daastaan
Jis dam tera Hussain tha teeron ke darmiyaan
Woh teer aakhri tha jo maine chalaaya tha
Us teer ne Hussain ko zeen se giraaya tha

Haaye
Phir shor wa-Hussaina ka uthta tha baar baar
Jab qaid kar ke laaya gaya Shimr-e-bad-sheyaar
Bola woh mere haath mein khanjar tha tez dhaar
Jis se kiye Hussain ki gardan pe terah waar
Khanjar rawaan tha halq pe Ibn-e-Batool ke
Dil kat rahe the saath mein Aal-e-Rasool ke

Haaye
Ab iske baad Mir Takallum bayaan ho kya
Ae pursa-daaro, sochna dil mein kabhi zara
Kyun itna waqt qaatil-e-Shabbir ko laga
Kis waaste Hussain ka katta na tha gala
Mehshar mein yeh khulega sitam kaainaat par
Khanjar ke kuchh nishaan hain Zahra ke haath par

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2014
Personalities
Imam Hussain, Ali Akbar, Ali Asghar, Hazrat Abbas, Sayyida Fatima Zahra
Occasion
Muharram
Themes
Karbala remembrance, Retribution narrative, Mukhtar's court
Original language
Urdu
Album
Labbaik Ya Zainab (s.a) — Volume 2014

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.