Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Rone Walon Shehr-e-Madina

Mir Hasan Mir

2013Urdu
2013UrduSayyida Fatima ZahraMuharram
Rone Walon Shehr-e-Madina is a an Urdu noha recited by Mir Hasan Mir, listed with his 2013 recitations. It reflects on grief of sayyida fatima zahra. Read the Roman lyrics, Urdu script and English meaning, with the original refrain sequence preserved.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2013
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Rone Walon Shehr-e-Madina Lyrics

WA

Rone waalo, shehr-e-Madina mein
Ek aisa bhi waqt aaya hai
Kalma-goyon ne kalma-waalon ko
Bhare darbaar mein rulaaya hai

Hai muqaddama Rasool-zaadi ka
Bhare darbaar mein woh aayi hai
Jin pe Allah bhi durood parhe
Aise farzand saath laayi hai
Pasbaan-e-Fidak ne phir kaise un gawaahon ka dil dukhaaya hai

Masnad-e-Mustafa pe ghaasib hai
Saamne Mustafa ki beti hai
Mera haq de do, ae musalmaano
Ro kar Khair-un-Nisa yeh kehti hai
Mere Baba ke baad kyun tumne
Fatima par yeh zulm dhaaya hai

Bola be-zarf, to ae Nabi-zaadi
Tere haq to main jaanta hi nahin
Jo likhi thi tumhaare Baba ne
Main woh tehreer maanta hi nahin
Chaak kar di sanad Muhammad ki
Qehqaha zor se lagaaya hai

Qabr-e-Ahmad pe jaa ke kehne lagi
Fatima ko zaeef kar daala
Dekho Baba, tumhaari ummat ne
Kitna mujhko zaeef kar daala
Mera Mohsin shaheed kar daala
Mere pehlu pe dar giraaya hai

Fatima Sayyida ko Baba ki
Gar wiraasat pe ikhtiyaar nahin
Phir woh aurat Nabi ke hujre ki
Ae musalmaano, wiras-daar nahin
Jisne Maula Hasan ki mayyat par
Teer haathon se khud chalaaya hai

Gham-e-Aal-e-Aba mein rehta hai
Zikr-e-Shabbir aam karta hai
Maatami tauq-o-teeron mein
Is liye bhi salaam karta hai
Jisne Bibi Batool ke gham mein
Dil ko Bait-ul-Huzn banaaya hai

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2013
Personalities
Sayyida Fatima Zahra, Imam Ali, Imam Hasan, Imam Hussain
Occasion
Muharram
Themes
Grief of Sayyida Fatima Zahra
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.