Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Roohi Wa Jismi Lakal Fida

Mir Hasan Mir

2013Urdu
2013UrduImam HussainMuharram
Roohi Wa Jismi Lakal Fida is a an Urdu noha recited by Mir Hasan Mir, listed with his 2013 recitations. It reflects on devotion to imam hussain. Read the Roman lyrics, Urdu script and English meaning, with the original refrain sequence preserved.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2013
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Ya Aba Abdullah (a.s) — Volume 2013

Lyrics

Roohi Wa Jismi Lakal Fida Lyrics

WA

Ya Aba Abdillah, roohi wa jismi lakal fida
Ya Ghareeb, Ya Hussain ×2
Assalaamu alaika Ya Aba Abdillah ×4
Ya Aba Abdillah ×4, roohi wa jismi lakal fida ×2
Har laasha deta jaata hai ×2
Maqtal mein yeh sada
Roohi wa jismi lakal fida

Humne hai kiya aapki maadar se yeh waada
Majlis na rukegi kabhi, maatam na rukega
Kat jaaye chaahe haath yeh ×2
Kat jaaye yeh gala
Roohi wa jismi lakal fida
Ya Aba Abdillah ×4, roohi wa jismi lakal fida

Darte hain kahaan maut se hum ahl-e-shahaadat
Hai jaan se barh kar tere rauze ki ziyarat
Kehte hue yeh qaafle ×2
Jaate hain Karbala
Roohi wa jismi lakal fida
Ya Aba Abdillah ×4, roohi wa jismi lakal fida

Zaalim na bana de kahin ek aur Baqiyya
Phir Maula wohi Shaam hai aur aapka kunba
Izn-e-jihaad kijiye ×2
Mehdi ko ab ata
Roohi wa jismi lakal fida
Ya Aba Abdillah ×4, roohi wa jismi lakal fida

Hal min ki jo Shabbir ne maqtal mein sada di
Ashaab tarapne lage tanhaai pe Sheh ki
Uth uth ke deta jaata tha ×2
Har laasha yeh sada
Roohi wa jismi lakal fida
Ya Aba Abdillah ×4, roohi wa jismi lakal fida

Sajjad ne Baba ki jo turbat ko banaaya
Shabbir ke seene pe jo Asghar ko sulaaya
Laashe se keh ke doosra ×2
Laasha lipat gaya
Roohi wa jismi lakal fida
Ya Aba Abdillah ×4, roohi wa jismi lakal fida

Darbaar na jaaungi main, kehti thi yeh khwahar
Rote hue Shabbir ko dekh jo sinaan par
Labbaik keh ke chal pari ×2
Darbaar Sayyida
Roohi wa jismi lakal fida
Ya Aba Abdillah ×4, roohi wa jismi lakal fida

Jis waqt ke zindaan mein pyaason ke sar aaye
Zainab ne wahaan Aun-o-Muhammad ke bajaaye
Bhai ke sar ko god mein ×2
Lete hue kaha
Roohi wa jismi lakal fida
Ya Aba Abdillah ×4, roohi wa jismi lakal fida

Aankhon mein Takallum hai woh Ashur ka manzar
Ghaibat ko aza-khaana-e-Shabbir bana kar
Paiham Imam-e-Asr ke ×2
Honton pe hai sada
Roohi wa jismi lakal fida
Ya Aba Abdillah ×4, roohi wa jismi lakal fida

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2013
Personalities
Imam Hussain, Imam Mahdi, Sayyida Zainab, Ali Asghar
Occasion
Muharram
Themes
Devotion to Imam Hussain
Original language
Urdu
Album
Ya Aba Abdullah (a.s) — Volume 2013

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.