Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Sakina Ko Kyun Chhor Kar Ja Rahe Hain

Mir Hasan Mir

2010Urdu
2010UrduBibi SakinaMuharram
Sakina Ko Kyun Chhor Kar Ja Rahe Hain, recited by Mir Hasan Mir (2010), is an Urdu noha reflecting on the captivity and suffering of the Ahlulbayt. Read the original Roman lyrics, Urdu script, and an English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2010
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Sakina Ko Kyun Chhor Kar Ja Rahe Hain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Sakina Ko Kyun Chhor Kar Ja Rahe Hain

Sakina Ko Kyun Chhor Kar Ja Rahe Hain

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Sakina Ko Kyun Chhor Kar Ja Rahe Hain

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Sakina ko kyun chhor kar jaa rahe hain ×4
Kaha ro ke Baqir ne Aabid se, Baba
Sakina ko kyun chhor kar jaa rahe hain ×2
Hai Baba yahaan par bala ka andhera
Sakina ko kyun chhor kar jaa rahe hain
Kaha ro ke Baqir ne Aabid se, Baba
Sakina ko kyun chhor kar jaa rahe hain

Haan dekha hai maine safar mein yeh manzar
Jahaan paani hota tha is ko mayassar
To khud apne hisse ka paani hamesha
Giraati thi yeh aap ki beriyon par
Mayassar hai ab humko paani, to pyaasa
Sakina ko kyun chhor kar jaa rahe hain

Jhukaaye hue apna sar ro rahi hai
Rihaai ki sun kar khabar ro rahi hai
Tarapti hai Dadi Rubab aise Baba
Ke Amma bhi thaame jigar ro rahi hai
Bataayenge kya gar unhon ne yeh poochha
Sakina ko kyun chhor kar jaa rahe hain

Mujhe yaad hai khud yeh kehte the Daada
Madina hai is ke sabab se Madina
Ke meri nazar mein woh ghar ghar nahin hai
Nazar jis mein aaye na mujhko Sakina
Na is ke siwa phir basega Madina
Sakina ko kyun chhor kar jaa rahe hain

Madina ho ya Shaam, Karbobala ho
Ke bazaar-o-darbaar ka marhala ho
Sada har sitam hum ne jhela hai mil kar
To phir kyun na yeh mere dil ki sada ho
Mujhe bhi yahin chhor jaana ae Baba
Sakina ko kyun chhor kar jaa rahe hain

Mujhe aaj yaad aa raha hai woh lamha
Giri thi jo naaqe se ik din Sakina
Lage aap ki pusht par taaziyaane
Magar aap ne qaafila rok ke rakha
Ruka lein yoonhi qaafila aaj Baba
Sakina ko kyun chhor kar jaa rahe hain

Achanak nigaahein parin jo lahad par
Sawaalaat phir lab pe aaye na, Akbar
Sakina ki turbat ko seene lagaaye
Padar se yeh kehne lage ro ke Baqir
Samajh mein meri ab hai Baba yeh aaya
Sakina ko kyun chhor kar jaa rahe hain ×3

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2010
Personalities
Bibi Sakina, Imam Zainul Abidin, Imam Baqir, Bibi Rabab
Occasion
Muharram
Themes
Departure from Shaam, Prison of Shaam, Grief of Bibi Sakina
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.