Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Sarkaar Lut Gayi Jo Imam-e-Anaam Ki

Mir Anees

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Sarkaar Lut Gayi Jo Imam-e-Anaam Ki is a classical Urdu marsiya describing the suffering of the Ahlulbayt after the tragedy of Karbala. It depicts the devastated encampment, the departure of the captives, the mourning of Imam Hussain's family, and the sight of the martyrs' resting place. Read this four-stanza excerpt in Roman Urdu, Urdu script and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Marsiya
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Sarkaar Lut Gayi Jo Imam-e-Anaam Ki Lyrics

WA

Sarkaar Lut Gayi Jo Imam-e-Anaam Ki
Masnad Bhi Jal Chuki Shah-e-Aali-Maqam Ki
Dekha Jo Ahl-e-Shaam Ne Zulmat Ko Shaam Ki
Tajweez Qatl-Gah Mein Ki Ek Maqam Ki
Hote Hi Subh Shaam Mein Randon Ko Le Gaye
Sayyid Ki Laash Chhor Ke Tanha Chale Gaye

Sahra-Navard Maatam-e-Mazloom-e-Karbala
Aawara-e-Museebat-e-Farzand-e-Mustafa
Likhte Hain Is Tarah Se Ab Us Shab Ka Majra
Ek Qafila Farokash-e-Karb-o-Bala Hua
Sab Bhooke Pyase Aaye The Apne Maqam Se
Dil Sab Ka Bhar Gaya Wahan Aab-o-Taam Se

Nasraniya Bhi Ek Thi Us Qafile Ke Saath
Iffat-Shiar Hafiz-e-Injeel Nek-Zaat
Us Nek-Zaat Ne Bhi Na Dala Ghiza Pe Haath
Thi Dil Pe Khud-Ba-Khud Gham-o-Matam Ki Wardaat
Kyun Kar Na Wahan Sabr-o-Tahammul Tabah Ho
Daulat Jahan Batool Ki Bilkul Tabah Ho

Boli Kaneez Chal Ke Karo Sair-e-Sabza-Zaar
Khaime Mein Dil-Girifta Na Tum Baitho Zinhar
Yeh Sun Ke Nikli Khaime Se Par Dil Tha Beqarar
Bahar Nikalna Tha Ke Hua Hashr Aashkaar
Sabza Nazar Pada Na Gulistan Nazar Pada
Dekha To Ek Ganj-e-Shaheedan Nazar Pada

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.