Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Shaam Waalo Na Sataao

Mir Hasan Mir

2010Urdu
2010UrduImam Zainul AbidinMuharram
Shaam Waalo Na Sataao, recited by Mir Hasan Mir (2010), is an Urdu noha reflecting on the captivity and suffering of the Ahlulbayt. Read the original Roman lyrics, Urdu script, and an English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2010
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Shaam Waalo Na Sataao Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Shaam Waalo Na Sataao

Shaam Waalo Na Sataao

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Shaam Waalo Na Sataao

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Shaam waalo ×6
Shaam waalo, na sataao ×2
Kehta tha muhaari, ghurbat pe hamaari, bas kar, na rulaao
Shaam waalo, na sataao ×3

Sar chacha ka mere is waaste gir jaata hai
Inko behnon ka khula sar jo nazar aata hai
Ghayoor ke sar ko, lillah na logo, neze pe uthaao
Shaam waalo, na sataao ×3

Haaye, kya kya na sitam dhaaye hain hum par tum ne
Hadd yeh hai chheen li tatheer ki chaadar tum ne
Ab tum wohi chaadar, neze pe utha kar, humko na dikhaao
Shaam waalo, na sataao ×3

Hum ulil-amr hain, shaayad yeh nahin tumko khabar
Hum agar chaahein to barsein abhi tum par patthar
Majboor samajh kar, haaye tum Aal-e-Nabi par, patthar na giraao
Shaam waalo, na sataao ×3

Kaise neze pe uthaaya gaya sar Asghar ka
Kaise paamaal kiya Ibn-e-Hasan ka laasha
Yeh zulm ke qisse, mat saamne jaa ke, maaon ko sunaao
Shaam waalo, na sataao ×3

Shaam-e-Ashoor se yeh soyi nahin hai ab tak
Main to roya hoon, yeh royi bhi nahin hai ab tak
Tum maar lo mujhko, haaye par meri phuphi ko, durre na lagaao
Shaam waalo, na sataao ×3

Raaste bhar yeh tarapte rahe paani ke liye
Tumko maaloom nahin kab se hain pyaase bachche
Bachchon ko dikha kar, is tarah zameen par, paani na bahaao
Shaam waalo, na sataao ×3

Aaj bhatki hai wahaan naam pe Zainab ke rida [unclear source line]
Kal Takallum wahaan beemaar mera kehta raha
Yeh Aal-e-Nabi hain, haaye tum aise na inko, be-parda phiraao
Shaam waalo, na sataao ×3

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2010
Personalities
Imam Zainul Abidin, Sayyida Zainab, Bibi Sakina, Hazrat Abbas, Ali Asghar
Occasion
Muharram
Themes
Captivity of Ahlulbayt, Bazaar of Shaam, Unveiling and imprisonment
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.