Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Shimr Khanjar Na Chala

Mir Hasan Mir

2022Urdu
2022UrduImam HussainMuharram
Shimr Khanjar Na Chala is a 2022 noha recited by Mir Hasan Mir, written by Hasnain Akbar. It presents the heartbreaking pleas of Bibi Zainab (SA) as she witnesses the final moments of Imam Hussain (AS) in Karbala and begs Shimr not to strike her brother with the dagger.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2022
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Ya AbalFazl (a.s)

Lyrics

Shimr Khanjar Na Chala Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Shimr Khanjar Na Chala

Shimr Khanjar Na Chala

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Shimr Khanjar Na Chala

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haye Hussain, Haye Hussain

Shimr Ne Gardan-e-Mazloom Pe Khanjar Jo Rakha
Kuch Qadam Door Se Deti Rahi Zainab Yeh Sada
Aakhri Baar Behen Choom Le Bhai Ka Gala
Shimr Khanjar Na Chala

Jod Kar Haath Yeh Kehti Rahi Bint-e-Zahra
Shimr Khanjar Na Chala
Aakhri Baar Behen Choom Le Bhai Ka Gala
Shimr Khanjar Na Chala

Teer Jee Bhar Ke Ise Maar Chuka Hai Lashkar
Barchhiyan Pehlu Mein Tooti Hain Sitam Aur Na Kar
Khud Hi Aa Jayegi Kuch Der Mein Bhai Ko Qaza
Shimr Khanjar Na Chala
Aakhri Baar Behen Choom Le Bhai Ka Gala
Shimr Khanjar Na Chala

Aakhri Mujhse Mulaqat Use Karni Hai
Aisa Lagta Hai Koi Baat Use Karni Hai
Kitni Hasrat Se Mujhe Dekh Raha Hai Bhaiya
Shimr Khanjar Na Chala
Aakhri Baar Behen Choom Le Bhai Ka Gala
Shimr Khanjar Na Chala

Minnatein Karti Hoon Zalim Teri Aisa Tu Na Kar
Asr Ke Waqt Mere Ghar Mein Andhera Tu Na Kar
Shaam Se Pehle Bujhata Hai Charagh-e-Zahra
Shimr Khanjar Na Chala
Aakhri Baar Behen Choom Le Bhai Ka Gala
Shimr Khanjar Na Chala

Yeh Dil-o-Jaan-e-Rasool-e-Arabi Hai Zalim
Saath Mazloom Ke Yeh Be-Adabi Hai Zalim
Misl-e-Quran Hai Yeh Zanu To Seene Se Hata
Shimr Khanjar Na Chala
Aakhri Baar Behen Choom Le Bhai Ka Gala
Shimr Khanjar Na Chala

Sun Ke Halmin Ki Sada Aayi Hai Ran Mein Bachchi
Chal Na Jaye Kahin Donon Pe Laeen Teri Chhuri
Dekh Bhai Ke Gale Par Hai Sakina Ka Gala
Shimr Khanjar Na Chala
Aakhri Baar Behen Choom Le Bhai Ka Gala
Shimr Khanjar Na Chala

Kaat Kar Shaam Hi Le Jaane Hain Sar Tujh Ko Agar
Pher Le Aun-o-Muhammad Ke Galon Par Khanjar
Mere Bhaiya Ke Na Kar Jism Se Tu Sar Ko Juda
Shimr Khanjar Na Chala
Aakhri Baar Behen Choom Le Bhai Ka Gala
Shimr Khanjar Na Chala

Dekh Sakta Nahi Tu Jo Nazar Aata Hai Mujhe
Wasta Deti Hoon Tatheer Ki Aayat Ka Tujhe
Haath Amma Ne Hai Shabbir Ki Gardan Pe Rakha
Shimr Khanjar Na Chala
Aakhri Baar Behen Choom Le Bhai Ka Gala
Shimr Khanjar Na Chala

Kaat Kar Sajde Mein Akbar Shah-e-Wala Ka Gala
Shimr Hansta Hua Shabbir Ke Seene Se Utha
Goonjti Reh Gayi Maqtal Mein Yeh Zainab Ki Sada
Shimr Khanjar Na Chala

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2022
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Ya AbalFazl (a.s)

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.