Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Shireen Main Agaya

Mir Hasan Mir

2021Urdu
2021UrduImam HussainMuharram
Shireen Main Agaya is a 2021 Urdu noha recited by Mir Hasan Mir with poetry by Mir Takallum. The lament imagines Imam Hussain's severed head addressing Shireen as the captives of Karbala reach her home, recalling a promise, the suffering of the Ahlulbayt and the need to honour the grieving family.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2021
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Shireen Main Agaya Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Shireen Main Agaya

Shireen Main Agaya

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Shireen Main Agaya

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Lut ke jab qafla Shireen ke makaan tak pahuncha
Nok-e-neza se yeh aane lagi Maula ki sada
Waada hua wafa, ek sar ne di sada
Shireen main aa gaya

Ghar mera lut gaya
Zainab hai berida
Shireen main aa gaya
Waada hua wafa, ek sar ne di sada
Shireen main aa gaya

Kuchh der ke liye hai tere ghar mein bas qayam
Jaldi se kar ghareeb ki majlis ka ehtimam
Aaye hain Fatima, farsh-e-aza bichha
Shireen main aa gaya
Waada hua wafa, ek sar ne di sada
Shireen main aa gaya

Maare hain sang shehar ke logon ne is qadar
Behnon ke saath saath hai zakhmi mera bhi sar
Pehchaan ab zara, chehra lahu bhara
Shireen main aa gaya
Waada hua wafa, ek sar ne di sada
Shireen main aa gaya

Woh keh rahi thi bhai mujhe sharm aayegi
Shireen ko Bint-e-Fatima kya munh dikhayegi
Zainab hai berida, ghar ke diye bujha
Shireen main aa gaya
Waada hua wafa, ek sar ne di sada
Shireen main aa gaya

Pairon se meri behnon ke kaante nikaal le
Woh dekh gir rahi hai Sakina, sambhaal le
Le kar tumhare ghar pyaason ka qafla
Shireen main aa gaya
Waada hua wafa, ek sar ne di sada
Shireen main aa gaya

Rukhsat ke din ridaein di thin kis liye
Sar nange mere kunbe ki haalat se jaan le
Ab waqt aa gaya, lachaadaren woh la
Shireen main aa gaya
Waada hua wafa, ek sar ne di sada
Shireen main aa gaya

Zakhmon se choor chehre ko pehchaanti to ho
Mehman tum Hussain ko ab maanti to ho
Barh kar utaaro phir nezay se sar mera
Shireen main aa gaya
Waada hua wafa, ek sar ne di sada
Shireen main aa gaya

Baraat le ke aaya hoon karyal jawan ki
Haalat magar ajeeb hai is khandaan ki
Dulha ke saath hai nezay pe sar mera
Shireen main aa gaya
Waada hua wafa, ek sar ne di sada
Shireen main aa gaya

Taane to roz sunti thi woh bhool jayenge
Itne ameer log tere ghar kyun aayenge
Jaao un se keh do, jab nezay pe hoon to kya
Shireen main aa gaya
Waada hua wafa, ek sar ne di sada
Shireen main aa gaya

Shireen rida sambhaal ke dar ki taraf barhi
Haaye Hussain keh ke Takallum woh ro pari
Zakhmi labon se jab aane lagi sada
Shireen main aa gaya
Waada hua wafa, ek sar ne di sada
Shireen main aa gaya

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2021
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.