Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

So Jaye Thori Dair Sakina

Mir Hasan Mir

2018Urdu
2018UrduImam HussainAshura
So Jaye Thori Dair Sakina, also known as Zainab Gale Ko Choom Le, is a 2018 Urdu Noha recited by Mir Hasan Mir with poetry by Mir Takallum Mir. The lament portrays the final farewell between Imam Hussain and his sister Bibi Zainab on the day of Ashura. As Hussain prepares to leave for the battlefield, Zainab asks him to remain a little longer so that Sakina may fall asleep, recalling their family's losses and the suffering that lies ahead.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2018
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu
Album
Habib Aa Jao - Muharram 1440H

Lyrics

So Jaye Thori Dair Sakina Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

So Jaye Thori Dair Sakina

So Jaye Thori Dair Sakina

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

So Jaye Thori Dair Sakina

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye

Rukhsat ko aaye khaime mein jab Shah-e-Karbala
To Bint-e-Ali ne jod ke haathon ko di sada

Zainab gale ko choom le bhaiyya to jaiyye ×3
So jaaye thodi der Sakina to jaiyye

Zainab gale ko choom le bhaiyya to jaiyye
So jaaye thodi der Sakina to jaiyye ×2

Amma kahengi dekh ke chehra lahu bhara
Zainab ne kya khayaal nahi rakha bhai ka
Chaadar se saaf kar loon jo chehra to jaiyye
So jaaye thodi der Sakina to jaiyye

Zainab ghareeb ho gayi kuch bhi nahi bacha
Laashe utha ke Aun-o-Muhammad ke main zara
Ek baar phir utaar loon sadqa to jaiyye
So jaaye thodi der Sakina to jaiyye

Jaane na deti barchhiyon waalon mein main kabhi
Woh maa hain aur kaneez hoon bhaiyya main aap ki
Rann mein bula rahi hain jo Zahra to jaiyye
So jaaye thodi der Sakina to jaiyye

Rokungi phir na aap ko waada raha mera
Nazdeek hai yahan se Najaf Shah-e-Karbala
Aa jaayein mere paas jo Baba to jaiyye
So jaaye thodi der Sakina to jaiyye

Lagta hai rann mein aap ka karta hai intezaar
Lehra raha hai haath mein khanjar woh baar baar
Bhaiyya, arey bhaiyya, arey bhaiyya
Badal le Shimr iraada to jaiyye
So jaaye thodi der Sakina to jaiyye

Karni hai jang aakhri bhaiyya behen nisaar
Khoon beh raha hai kaise chalayenge Zulfiqaar
Baazu ka zakhm baandh de behna to jaiyye
So jaaye thodi der Sakina to jaiyye

Zindaan mein hum jo qabr-e-Sakina banaayenge
Kya aap leke Ghazi ko us waqt aayenge
Kar lijiye behen se yeh waada to jaiyye
So jaaye thodi der Sakina to jaiyye

Kaise bayaan ho Mir Takallum woh bekasi
Yeh keh ke Bint-e-Fatima khamosh ho gayi
Waade mein der hoti hai achchha to jaiyye
So jaaye thodi der Sakina to jaiyye

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2018
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Original language
Urdu
Album
Habib Aa Jao - Muharram 1440H

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.