Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Teri Zahra Pe Musibat Ki Ghari Hai

Mir Hasan Mir

2013Urdu
2013UrduSayyida Fatima ZahraMuharram
Teri Zahra Pe Musibat Ki Ghari Hai is a an Urdu noha recited by Mir Hasan Mir, listed with his 2013 recitations. It reflects on sufferings of sayyida fatima zahra. Read the Roman lyrics, Urdu script and English meaning, with the original refrain sequence preserved.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2013
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Ya Aba Abdullah (a.s) — Volume 2013

Lyrics

Teri Zahra Pe Musibat Ki Ghari Hai Lyrics

WA

Haaye mazlooma, Ya Zahra
Haaye Sayyida ×4
Baba mere Baba ×5
Teri Zahra pe museebat ki ghari hai ×2
Kaise darwaaza hataaun
Kaise Mohsin ko bachaaun
Saans seene mein ruki hai

Haath mein jis ke mera haath diya tha tumne
Keh ke man kunto jise Maula kaha tha tumne
Maine har mor pe Baba
Saath uska hai nibhaaya
Kya mera jurm yahi hai
Teri Zahra pe museebat ki ghari hai

Teri ummat ne bana di hai yeh haalat Baba
Koi pasli bhi nahin meri salaamat Baba
Saans leti hoon main jis dam
Rukne lagta hai mera dam
Sirf marne ki kami hai
Teri Zahra pe museebat ki ghari hai

Kabhi darbaar mein peshi ko bulaate hain hamein
Kabhi darwaaze pe aa aa ke sataate hain hamein
Mere yeh phool se bachche
Poochhte hain yahi mujhse
Kya khata humse hui hai
Teri Zahra pe museebat ki ghari hai

Sharm aati hai bhala tumko bataaun kaise
Yeh tamaachon ke nishaan tumko dikhaaun kaise
Tum na pehchaan sakoge
Dekh kar mujhko kahoge
Kya meri Zahra yahi hai
Teri Zahra pe museebat ki ghari hai

Yeh aziyyat, yeh khaamoshi nahin dekhi jaati
Mujhse tanhaai Ali ki nahin dekhi jaati
Tera paighaam sunaane
Haq-e-wilaayat ka bataane
Zahra ghar ghar mein gayi hai
Teri Zahra pe museebat ki ghari hai

Aapke sog mein taareek na dekha gaya ghar
Aag darwaaze pe ummat ne laga di aakar
Baba jaan, baad tumhaare
Dekhiye ghar mein hamaare
Roshni kaise hui hai
Teri Zahra pe museebat ki ghari hai

Qabr-e-Zahra se Takallum yeh sada aati hai
Kitni sadiyon se meri qabr pe veeraani hai
Phool turbat pe charha ke
Ek diya laa ke jala ke
Kya Madine mein koi hai
Teri Zahra pe museebat ki ghari hai

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2013
Personalities
Sayyida Fatima Zahra, Imam Ali, Prophet Muhammad
Occasion
Muharram
Themes
Sufferings of Sayyida Fatima Zahra
Original language
Urdu
Album
Ya Aba Abdullah (a.s) — Volume 2013

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.