Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Tu Na Aya Ghazi

Mir Hasan Mir

2021Urdu
2021UrduImam HussainMuharram
Tu Na Aya Ghazi is a 2021 Urdu noha recited by Mir Hasan Mir and Mir Qasim Mir, with poetry by Dr. Rehan Azmi. Voiced through the grief of Bibi Zainab, it laments the absence of Hazrat Abbas after Karbala, the loss of her veil, the captivity of the Ahlulbayt and the suffering of Bibi Sakina.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2021
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Tu Na Aya Ghazi Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Tu Na Aya Ghazi

Tu Na Aya Ghazi

Mir Hasan Mir · Mir Qasim Mir

YouTube loads when you open Listen.

Tu Na Aya Ghazi

Mir Hasan Mir · Mir Qasim Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Abbas, Haaye Abbas
Aal-e-Imran kahan aur zindaan kahan
Le behan qaid hui
Tu na aaya Ghazi
Jab rida sar se chheeni main sada deti rahi
Tu na aaya Ghazi

Aa gayi Shaam-e-alam, lut gaye Ahl-e-Haram
Rait par jalti hui ho gaya thanda alam
Pursa dene ke liye, tujh se milne ke liye, aa gaye Baba Ali
Tu na aaya Ghazi
Jab rida sar se chheeni main sada deti rahi
Tu na aaya Ghazi

Dhoop mein tu tha shajar, tujh se aabaad tha ghar
Hai barahna mera sar, kya nahi tujh ko khabar
Aye Alamdar-e-Wafa, us behan ko ba-Khuda, tujh se dharas thi bari
Tu na aaya Ghazi
Jab rida sar se chheeni main sada deti rahi
Tu na aaya Ghazi

Kya kahoon sher mere, berida hum ko liye
Yeh Musalman saare shehar dar shehar gaye
Khalqat-e-Koofa kabhi, khalqat-e-Shaam kabhi, baarha hum pe hansi
Tu na aaya Ghazi
Jab rida sar se chheeni main sada deti rahi
Tu na aaya Ghazi

Kitni bebas thi behan, aye Shehenshah-e-Wafa
Naam le le ke mera jab yeh zalim ne kaha
Naaz tha jis pe tujhe, ab bulao na use
Aur main roti rahi
Tu na aaya Ghazi

Hum ko paani na mile, teri khushboo to rahe
Tere baazu na katein, chahe mashkeeza chhide
Yeh magar ho na saka, tere baazu hain juda
Mujh pe hai tashnalabi
Tu na aaya Ghazi
Jab rida sar se chheeni main sada deti rahi
Tu na aaya Ghazi

Kya Sakina se kahoon, aye mere dil ke sukoon
Haaye paani ke liye beh gaya sab tera khoon
Ab koi aas nahi, tu mere paas nahi
Rassi shaanon mein bandhi
Tu na aaya Ghazi
Jab rida sar se chheeni main sada deti rahi
Tu na aaya Ghazi

Jab chali Sheh pe chhuri, aye mere Sher-e-Jari
Haath malti thi behan, kuchh qadam door khari
Kaat gaya Sheh ka gala, haaye bhai ne sada
Mujh ko har zarb pe di
Tu na aaya Ghazi
Jab rida sar se chheeni main sada deti rahi
Tu na aaya Ghazi

Qaidkhane mein qaza jab Sakina ko mili
De ke kurte ka kafan bachhi dafnayi gayi
Us ghari naam tera, soorat-e-Nad-e-Ali
Bas main dohrati rahi
Tu na aaya Ghazi ×2
Jab rida sar se chheeni main sada deti rahi
Tu na aaya Ghazi

Roya Rehan qalam kar ke yeh baat raqam
Khoon mein doob gaya mere Ghazi ka alam
Zakhmi Zainab ka jigar, khoonfishan Shah ka sar
Aaye khaimon mein shaqi
Tu na aaya Ghazi
Jab rida sar se chheeni main sada deti rahi
Tu na aaya Ghazi ×3

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2021
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.