Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Umme Laila Sambhal Zainab Ko

Mir Hasan Mir

2012Urdu
2012UrduSayyida ZainabMuharram
Umme Laila Sambhal Zainab Ko, recited by Mir Hasan Mir (Volume 2012), is a noha about martyrdom of ali akbar and grief of zainab. Read the Roman Urdu, Urdu script and English translation, preserving the original stanza order and refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2012
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Shaam Ne Mardiya — Volume 2012

Lyrics

Umme Laila Sambhal Zainab Ko Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Umme Laila Sambhal Zainab Ko

Umme Laila Sambhal Zainab Ko

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Umme Laila Sambhal Zainab Ko

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ghareeb-e-Zahra par kya waqt hai ghareebi ka
Garebaan chaak hai, baalon mein khaak-e-Karb-o-Bala
Talaash karte hain rasta, nazar nahin aata
Yeh haal dekh ke hanste hain Sheh par ahl-e-jafa
Behan ke kaandhon par kul kaainaat laate hain
Qadam qadam par yeh aawaaz dete jaate hain

Umme Laila, sambhaal Zainab ko ×2
Laa raha hoon main laash-e-Akbar
Umme Laila, sambhaal Zainab ko ×2
Bole honge Hussain yeh ro kar
Umme Laila, sambhaal Zainab ko

Naujawaan laash hai, zaeefi hai
Meri nazron se dekh manzar ko
Kaise hamsheer ko sambhaalunga
Main sambhaale hue hoon Akbar ko
Tera ehsaan hoga yeh mujh par
Umme Laila, sambhaal Zainab ko

Uske seene se le ke naam-e-Ali
Maine barchhi abhi nikaali hai
Imtehaan de chuki meri ghurbat
Ab teri bebasi ki baari hai
Tu bhi is waqt Ya Ali keh kar
Umme Laila, sambhaal Zainab ko

Do nageene the iski godi mein
Donon Akbar pe kar diye sadqa
Sabr aisa ke apne beton par
Maine rota ise nahin dekha
Hai magar ab yeh laash-e-Akbar
Umme Laila, sambhaal Zainab ko

Rok rakha hai apne ashkon ko
Sab se chhup chhup ke aahein bharti hai
Main samajhta hoon Maadar-e-Akbar
Teri mamta pe jo guzarti hai
Rakh ke apne kaleje pe patthar
Umme Laila, sambhaal Zainab ko

Aise laash-e-jawaan uthaaye hoon
Eriyaan khat banaati aati hain
In nishaanon ko peechhe peechhe mere
Amma Zahra mitaati aati hai
Uski nazrein na dekhein yeh manzar
Umme Laila, sambhaal Zainab ko

Ae Takallum woh Shaam-o-Kufa ka
Tai hua hoga is tarah se safar
Amma Zainab sambhaalna Maa ko
Kehte honge sina se yeh Akbar
Aur hoga Hussain ke lab par
Umme Laila, sambhaal Zainab ko

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2012
Personalities
Sayyida Zainab, Imam Hussain, Ali Akbar
Occasion
Muharram
Themes
Martyrdom of Ali Akbar and grief of Zainab
Original language
Urdu
Album
Shaam Ne Mardiya — Volume 2012

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.