Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Utho Sakina Chalain Karbala

Mir Hasan Mir

2019Urdu
2019UrduImam HussainMuharram
Utho Sakina Chalain Karbala is a sorrowful Urdu noha recited by Mir Hasan Mir, written by Hasnain Akbar and released in the 2019 Karbala Chalo collection. It portrays a mother's heartbreaking farewell at Bibi Sakina's grave in the prison of Shaam as the surviving captives prepare to return to Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2019
Occasion
Muharram, Arbaeen
Original
Urdu
Album
Karbala Chalo

Lyrics

Utho Sakina Chalain Karbala Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Utho Sakina Chalain Karbala

Utho Sakina Chalain Karbala

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Utho Sakina Chalain Karbala

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Sakina, aye Sakina

Zindaan se jab riha hue Sadaat-e-Karbala
Maa ne lipat ke qabr-e-Sakina pe di yeh sada
Utho Sakina chalein Karbala

Chhoti si turbat pe Maa ne kaha
Utho Sakina chalein Karbala

Zindaan se jata hai ab qafla
Utho Sakina chalein Karbala

Mujhe Shehzadi tumhari qasam
Na rakhungi zindaan se bahar qadam
Safar ki ab hoti hain tayyariyan
Amaari mein baithe hain Ahl-e-Aza
Ghurbat ka meri tumhein wasta
Utho Sakina chalein Karbala

Woh pehle ke jaise to ghurbat nahi
Aye Bibi hamari woh haalat nahi
Tumhein Shaamiyon se ab aye meri jaan
Kafan maangne ki zaroorat nahi
Lo mil gayi hai tumhari rida
Utho Sakina chalein Karbala

Mujhe yaad Asghar ki hai bebasi
Lahad se woh mayyat nikali gayi
Akele mein rehne na dungi tumhein
Bharosa nahi Shaamiyon ka koi
Rehte hain chaaron taraf ashqiya
Utho Sakina chalein Karbala

Yeh Shaami kahan tum ko behlayenge
Tumhari lahad par nahi aayenge
Rahega andhera hi zindaan mein
Haram jab yahan se chale jayenge
Kaun aayega phir jalane diya
Utho Sakina chalein Karbala

Kahani padar ki sunaungi main
Agar neend aayi sulaungi main
Akele na naaqe pe baithungi tum
Tumhein saath apne bithaungi main
Ab to rasan mein na hoga gala
Utho Sakina chalein Karbala

Mujhe maar daalega bas yehi gham
Kamar hai beti tumhari jo kham
Waram baazuon ka mujhe yaad hai
Tumhein to dikhayi bhi deta hai kam
Akbar se Bibi milegi shifa
Utho Sakina chalein Karbala

Bari der thehri hain darbar mein
Yahan par na roko zyada unhein
Ke pehlu pe ek haath rakhe hue
Sada de rahi hain Sakina tumhein
Lene ko aayi hain khud Sayyeda
Utho Sakina chalein Karbala

Thi zindaan mein Akbar ajab woh ghari
Rehayi pe roti thi har ek phuphi
Idhar khoon rota tha Abid udhar
Sakina lahad mein tarapti rahi
Jab bhi yeh maadar ne ro kar kaha
Utho Sakina chalein Karbala

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2019
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Arbaeen
Original language
Urdu
Album
Karbala Chalo

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.