Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Wada Nibhati Rahi Fizza

Mir Hasan Mir

2014Urdu
2014UrduHazrat FizzaMuharram
Wada Nibhati Rahi Fizza is an Urdu noha recited by Mir Hasan Mir, commemorating service of fizza and karbala and captivity. Read the Roman lyrics, original Urdu/Shahmukhi script and English translation with repeated refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2014
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Labbaik Ya Zainab (s.a) — Volume 2014

Lyrics

Wada Nibhati Rahi Fizza Lyrics

WA

Haaye Fizza, haaye haaye Fizza ×4
Fizza tujhe salaam ×6
Zahra se kiya waada nibhaati rahi Fizza ×4
Har mor pe Zainab ko bachaati rahi Fizza

Jo Saani-e-Zahra ko bachaane mein lage the ×2
Sajjad se woh zakhm chhupaati rahi Fizza
Zahra se kiya waada nibhaati rahi Fizza ×2

Jab poochha, kahaan reh gaye Amma mere Baba ×2
Sughra se bahut der chhupaati rahi Fizza
Zahra se kiya waada nibhaati rahi Fizza ×2

Aaya jo mulaaqaat ko Abbas ka beta ×2
Bas shaanon ko aankhon se lagaati rahi Fizza
Zahra se kiya waada nibhaati rahi Fizza ×2

Shabbir ki beti ho ya beti ho Nabi ki ×2
Har umr ki Zahra ko bachaati rahi Fizza
Zahra se kiya waada nibhaati rahi Fizza ×2

Darwaaza-e-Zahra kabhi, khaimon se haram ke ×2
Uthte hue sholon ko bujhaati rahi Fizza
Zahra se kiya waada nibhaati rahi Fizza ×2

Bachchon se lipat kar kabhi Zainab se lipat kar ×2
Patthar jo baraste rahe khaati rahi Fizza
Zahra se kiya waada nibhaati rahi Fizza ×2

Kha kar kabhi patthar, kabhi durre, ae Takallum ×2
Qarz Aal-e-Muhammad ka chukaati rahi Fizza
Zahra se kiya waada nibhaati rahi Fizza ×2
Haaye Fizza

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2014
Personalities
Hazrat Fizza, Sayyida Fatima Zahra, Sayyida Zainab, Imam Zainul Abidin, Bibi Sughra, Hazrat Abbas
Occasion
Muharram
Themes
Service of Fizza, Protection of Ahlulbayt, Karbala and captivity
Original language
Urdu
Album
Labbaik Ya Zainab (s.a) — Volume 2014

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.