Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Woh Waqt Yaqeenan Ayega

Mir Hasan Mir

2021Urdu
2021UrduImam MahdiMuharram
Woh Waqt Yaqeenan Ayega is a 2021 title noha recited by Mir Hasan Mir, with poetry by Hussain Gohar. It expresses the hope for the reappearance of Imam Mahdi, the restoration of justice, the raising of Hazrat Abbas's standard and a future when oppression and division will end.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2021
Personalities
Imam Mahdi
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Woh Waqt Yaqeenan Ayega Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Woh Waqt Yaqeenan Ayega

Woh Waqt Yaqeenan Ayega

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Woh Waqt Yaqeenan Ayega

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Woh waqt yaqeenan aayega
Maula...

Kabhi aye Haqeeqat-e-Muntazar
Nazar aa libaas-e-majaz mein
Ke hazaron sajde tarap rahe
Hain meri jabeen-e-niyaz mein

Woh waqt yaqeenan aayega, woh waqt yaqeenan aayega
Jab Hujjat-e-Daur ke haathon mein
Ghazi ka alam lehrayega
Woh waqt yaqeenan aayega ×2
Allahumma ajjil li-waliyyikal-faraj

Jis din Sajjad ke ashkon ki
Tadaad batayi jayegi
Aur un ashkon ke badle mein
Talwar chalayi jayegi
Us sar se jism juda hoga ×2
Talwar se jo takrayega
Alam lehrayega, lehrayega
Woh waqt yaqeenan aayega ×2
Ya Mahdi!

Har ek mazloom ki aas hai yeh
Hujjat ka shams tuloo hoga
Phir Shaam jigar se utregi
Sajjad ka khatam ruku hoga
Phir noor-e-aman yun phailega ×2
Har zulm ko raunda jayega
Alam lehrayega, lehrayega
Woh waqt yaqeenan aayega ×2
Allahumma ajjil li-waliyyikal-faraj

Dadi ka haq woh maangega
Apni talwar ke saath kabhi
Jo haath ridaein loot-te hain
Kat jayenge woh haath sabhi
Tatheer ke ghar ki soorat phir ×2
Koi ghar na loota jayega
Alam lehrayega, lehrayega
Woh waqt yaqeenan aayega ×2

Aabaad Baqaiyya tha jis jaa
Woh rauza kaise toota hai
Kis kis ne yahan kaise kaise
Sadaat ke ghar ko loota hai
Talwar batati jayegi ×2
Woh khoon bahata jayega
Alam lehrayega, lehrayega
Woh waqt yaqeenan aayega ×2

Baaghi ki beti jis ne bhi
Chhoti Bibi ko bola tha
Namoos-e-Nabi ko raahon mein
Durron se jis ne maara tha
Un sab ko bana kar qaidi woh ×2
Bazaar-e-Shaam mein layega
Alam lehrayega, lehrayega
Woh waqt yaqeenan aayega ×2
Ya Mahdi!

Phir Ahl-e-Bait Madine mein
Aabaad karenge ghar apna
Aur lenge Bani Hashim mil kar
Kuchh pardadaron ka badla
Abbas ki chup bhi tootegi ×2
Besheer bhi tegh uthayega
Alam lehrayega, lehrayega
Woh waqt yaqeenan aayega ×2

Gohar mulkon ki sarhad se
Insaan taqseem nahi hoga
Haan naam-nihaad mazahib mein
Quran taqseem nahi hoga
Woh Adil saari duniya ko ×2
Ek adl ka shehar banayega
Alam lehrayega, lehrayega
Woh waqt yaqeenan aayega ×2
Ya Mahdi!

Allahumma ajjil li-waliyyikal-faraj

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2021
Personalities
Imam Mahdi
Occasion
Muharram
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.