Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ya Ali Adrikni

Mir Hasan Mir

2021Urdu
2021UrduImam AliMuharram
Ya Ali Adrikni is a 2021 Urdu noha recited by Mir Hasan Mir and written by Mir Takallum. The lament portrays Bibi Zainab calling upon Imam Ali for help while the captives of Karbala endure the marketplaces and court of Shaam, expressing the suffering of Imam Zainul Abidin and Bibi Sakina.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2021
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Ya Ali Adrikni Lyrics

WA

Ya Ali Adrikni

Ro ke bazaar mein deti thi sada Bint-e-Ali
Ya Ali Adrikni, Ya Ali Adrikni

Nok-e-neza se sada deta hai Ibn-e-Zahra
Log Zainab ki taraf dekh rahe hain Baba
Zair-e-khanjar nazar aati hai tumhari beti
Ya Ali Adrikni, Ya Ali Adrikni

Imtehan ghairat-e-Sajjad ka kaisa hoga
Qatl darbar mein Sajjad dobara hoga
Maangne aaya hai bachhi ko kaneezi mein shaqi
Ya Ali Adrikni, Ya Ali Adrikni

Keh do zalim se mujhe maar le aa kar durra
Baba Zainab se yeh manzar nahi dekha jata
Maarta hai woh mere bhai ke honton pe chhari
Ya Ali Adrikni, Ya Ali Adrikni

Sar khule Shaam mein Sadaat jidhar jaate hain
Log patthar liye pehle hi nazar aate hain
Aaj bazaar mein mar jaye na koi Bibi
Ya Ali Adrikni, Ya Ali Adrikni

Aap ke samne jo baat nahi karti thi
Aaj bazaar mein woh beti bhi khutbe degi
Aap ke lehje ki is waqt zaroorat hai bari
Ya Ali Adrikni, Ya Ali Adrikni

Abhi darbar se pehle hi guzar jayegi
Sun liya Sani-e-Zahra ne to mar jayegi
Log kehte hain Hussain Ibn-e-Ali ko baaghi
Ya Ali Adrikni, Ya Ali Adrikni

Saare bazaar ne hans hans ke tamasha dekha
Aur bhi Shimr ne is baat pe is ko maara
Jab tamachon pe Sakina yeh tarap kar boli
Ya Ali Adrikni, Ya Ali Adrikni

Bab-e-Sa'at ka jo bazaar se dekha manzar
The Takallum wahan sab log uthaye patthar
Sani-e-Zahra yeh kehti hui naaqe se giri
Ya Ali Adrikni, Ya Ali Adrikni

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2021
Personalities
Imam Ali, Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.