Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ya Fatima Rida Mein Chhupa Lo Hussain Ko

Mir Hasan Mir

2017Urdu
2017UrduImam HussainMuharram
Ya Fatima Rida Mein Chhupa Lo Hussain Ko is a 2017 Noha recited by Mir Hasan Mir, with poetry by Mir Takallum Mir. The lament calls upon Bibi Fatima Zahra (s.a.) to shelter Imam Hussain (a.s.) in his final moments at Karbala, weaving together the grief of Ali Akbar, Abbas, Sakina, Bibi Zainab and the wounded Imam.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2017
Personalities
Imam Hussain, Imam Ali
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Zameen e Karbala Walay

Lyrics

Ya Fatima Rida Mein Chhupa Lo Hussain Ko Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ya Fatima Rida Mein Chhupa Lo Hussain Ko

Ya Fatima Rida Mein Chhupa Lo Hussain Ko

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Ya Fatima Rida Mein Chhupa Lo Hussain Ko

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Ghareeb, Ya Hussain
Haye Ghareeb, Haye Hussain
Haye, arey
Maqtal mein gir raha hai ×2
Sambhalo Hussain ko
Ya Fatima rida mein chhupa lo Hussain ko ×3

Maqtal mein gir raha hai ×2
Sambhalo Hussain ko
Ya Fatima rida mein chhupa lo Hussain ko ×3

Paiwast hain ghareeb ke pehlu mein barchhiyan
Tum ko bhi uthne deti nahin tooti pasliyan
Le kar Ali ka naam ×2
Utha lo Hussain ko
Ya Fatima rida mein chhupa lo Hussain ko ×2

Deewar-o-dar ke beech jo armaan reh gaye
Rakhi hui thi dil mein jo Mohsin ke waaste
Woh loriyan bhi aaj ×2
Suna lo Hussain ko
Ya Fatima rida mein chhupa lo Hussain ko ×2

Solah pehar ki pyaas hai aur hai labon pe dam
De kar ghareeb bete ko Abbas ki qasam
Paani agar mile to ×2
Pila lo Hussain ko
Ya Fatima rida mein chhupa lo Hussain ko ×2

Sheh ki ghareeb beti ke armaan ki tarah
Godi mein le ke teesri Shabaan ki tarah
Kuchh der ho sake to ×2
Sula lo Hussain ko
Ya Fatima rida mein chhupa lo Hussain ko ×2

Haider tadap rahe hain, Payambar hain beqaraar
Tum kaise sun rahi ho sadayein yeh baar baar
Ek shor hai zameen par ×2
Gira lo Hussain ko
Ya Fatima rida mein chhupa lo Hussain ko ×2

Achhe nahin iraade Yazeedi sipah ke
Paaon nikal rahe hain rakaabon se Shah ke
Ghazi nahin hai, tum hi ×2
Sambhalo Hussain ko
Ya Fatima rida mein chhupa lo Hussain ko ×2

Zainab sada yeh deti hai, aye beqaraar Maa
Zakhmon ko mil ke baandhengi Haider ki betiyan
Khaime mein ek baar ×2
Bula lo Hussain ko
Ya Fatima rida mein chhupa lo Hussain ko ×2

Rone lagi, aye Mir Takallum, woh ghamzada
Phaila ke apne haath jo Shabbir ne kaha
Haye, godi mein thodi der ×2
Sula lo Hussain ko
Ya Fatima rida mein chhupa lo Hussain ko ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2017
Personalities
Imam Hussain, Imam Ali
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Zameen e Karbala Walay

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.