Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Yeh Woh Ali Hai Jisko Kabhi Ghar Nahi Mila

Mir Hasan Mir

2013Urdu
2013UrduAli AsgharMuharram
Yeh Woh Ali Hai Jisko Kabhi Ghar Nahi Mila is a an Urdu noha recited by Mir Hasan Mir, listed with his 2013 recitations. It reflects on martyrdom of ali asghar. Read the Roman lyrics, Urdu script and English meaning, with the original refrain sequence preserved.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2013
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Ya Aba Abdullah (a.s) — Volume 2013

Lyrics

Yeh Woh Ali Hai Jisko Kabhi Ghar Nahi Mila Lyrics

WA

Asghar ko le ke god mein ×6
Asghar ko le ke god mein kehti hai Karbala
Yeh woh Ali hai jisko kabhi ghar nahin mila ×3

Chhe maah ke ghareeb musaafir ko saunp ke
Kehne lage Hussain yeh qabr-e-sagheer se
Rakhna zara khayaal mere tishna-dahan ka
Yeh woh Ali hai jisko kabhi ghar nahin mila ×2

Maadar yeh bain karti thi, dil mein hai yeh kasak
Sughra tumhaari god se aaghosh-e-qabr tak
Asghar ko maut ne kahin rukne nahin diya
Yeh woh Ali hai jisko kabhi ghar nahin mila ×2

Maa sochti thi dhalta hai din, ho rahi hai Shaam
Jhule mein laut aayega shayad woh tishna-dahan
Lekin ghazab hua ke woh jhoola bhi jal gaya
Yeh woh Ali hai jisko kabhi ghar nahin mila ×2

Galiyon mein shehr-e-Kufa ke, bazaar-e-Shaam mein
Sheeri ke ghar kabhi, kabhi darbaar-e-Shaam mein
Marne ke baad bhi abhi Asghar safar mein tha
Yeh woh Ali hai jisko kabhi ghar nahin mila ×2

Nanhe se sar ko naaz se bas takte rehte the
Phir khoon ro ke Sayyid-e-Sajjad kehte the
Main woh Ali hoon jiska bhara ghar ujar gaya
Yeh woh Ali hai jisko kabhi ghar nahin mila ×2

Aane laga watan jo ghareebon ka kaarwaan
Mur mur ke kehti jaati thi ek khaali god maa
Rakhiyo sambhaal kar ise, ae arz-e-Nainawa
Yeh woh Ali hai jisko kabhi ghar nahin mila ×2

Dar hai yeh phir se koi sinaan par utha na le
Lipta hua hai ab bhi seene se baap ke
Ro ro ke keh rahi hai Takallum yeh Karbala
Yeh woh Ali hai jisko kabhi ghar nahin mila ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2013
Personalities
Ali Asghar, Imam Hussain, Bibi Sughra, Sayyida Zainab
Occasion
Muharram
Themes
Martyrdom of Ali Asghar
Original language
Urdu
Album
Ya Aba Abdullah (a.s) — Volume 2013

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.