Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Yun Karbala Se Abid-e-Bimar Chale Hain

Hassan Sadiq

2008Urdu
2008UrduImam Zainul AbidinMuharram
Yun Karbala Se Abid-e-Bimar Chale Hain is a 2008 Urdu noha recited by Hassan Sadiq, written by Haider Khursheed. It describes Imam Zainul Abidin and the captive women of the Ahlulbayt leaving Karbala for Shaam after Ashura. Read Roman Urdu, Urdu and English lyrics.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2008
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Matam Karo Shabbir Ka

Lyrics

Yun Karbala Se Abid-e-Bimar Chale Hain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Yun Karbala Se Abid-e-Bimar Chale Hain

Yun Karbala Se Abid-e-Bimar Chale Hain

Hassan Sadiq

YouTube loads when you open Listen.

Yun Karbala Se Abid-e-Bimar Chale Hain

Hassan Sadiq

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Karbal se Shaam, qaidi woh (×2)
Yun Karbala se Abid-e-Bimar chale hain (×2)

Ik zulm ki zanjeer mein, behnon ke gale hain
Yun Karbala se Abid-e-Bimar chale hain (×2)

Maqtal mein chaar-su ab ik hu ka hai aalam
Na Ghazi Alamdar, na Akbar hai, na Qasim
Nok-e-sinaan pe ab sabhi naazon ke pale hain (×2)
Ik zulm ki zanjeer mein, behnon ke gale hain
Yun Karbala se Abid-e-Bimar chale hain (×2)

Fi'l-Qurba ki aayat ki yeh tafseer hai logo
Nok-e-sinaan pe Chadar-e-Tatheer hai logo
Laashe pade hain har taraf aur khaime jale hain (×2)
Ik zulm ki zanjeer mein, behnon ke gale hain
Yun Karbala se Abid-e-Bimar chale hain (×2)

Zehra ki laadli pe yeh kya waqt hai aaya
Na sar pe rida aur na babul ka hai saaya
Aal-e-Aba pe is tarah haye waqt dhale hain (×2)
Ik zulm ki zanjeer mein, behnon ke gale hain
Yun Karbala se Abid-e-Bimar chale hain (×2)

Noha-kunaan zameen hai, khoon roya aasmaan
Paband-e-salasil hain, chale Mir-e-Karwan
Khoon ro rahe hain khaar jo paaon ke tale hain (×2)
Ik zulm ki zanjeer mein, behnon ke gale hain
Yun Karbala se Abid-e-Bimar chale hain (×2)

Panjatan ke dar se tujhko qalam ata hai
Khursheed, tujhko Sani-e-Zehra ki dua hai
Tere sukhan ke phool yeh abhi phool phale hain (×2)
Ik zulm ki zanjeer mein, behnon ke gale hain
Yun Karbala se Abid-e-Bimar chale hain (×2)

Karbal se Shaam, qaidi woh (×2)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2008
Personalities
Imam Zainul Abidin, Imam Hussain, Sayyida Zainab, Sayyida Fatima Zahra, Hazrat Abbas, Ali Akbar, Hazrat Qasim
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Matam Karo Shabbir Ka

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.