Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Zainab Ka Jo Abbas Tha Lashkar Ke Barabar

Shadman Raza

2019Urdu
2019UrduHazrat AbbasMuharram
Zainab Ka Jo Abbas Tha Lashkar Ke Barabar is a Noha recited by Shadman Raza, with poetry by Arif Sahab of Skardu, from the 2019 release. The verses commemorate Hazrat Abbas (AS), his bravery and loyalty, and the sorrow of Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2019
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Zainab Ka Jo Abbas Tha Lashkar Ke Barabar Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Zainab Ka Jo Abbas Tha Lashkar Ke Barabar

Zainab Ka Jo Abbas Tha Lashkar Ke Barabar

Shadman Raza

YouTube loads when you open Listen.

Zainab Ka Jo Abbas Tha Lashkar Ke Barabar

Shadman Raza

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haye Abbas, Haye Abbas, Haye Abbas
Abbas, Abbas, Abbas ×2

Zainab Ka Jo Abbas Tha Lashkar Ke Barabar
Haye Haye
Zainab Ka Jo Abbas Tha Lashkar Ke Barabar
Uski Bhi Lahad Ban Gayi ×2
Asghar Ke Barabar
Zainab Ka Jo Abbas Tha Lashkar Ke Barabar ×2

Woh Sher Gira Khaak Pe Jab Pusht-e-Faras Se
Be-Dast Pe Talwar-o-Sinaan, Teer The Barse
Woh Waqt Tha Shabbir Par ×2
Mehshar Ke Barabar
Uski Bhi Lahad Ban Gayi Asghar Ke Barabar
Haye Haye
Zainab Ka Jo Abbas Tha Lashkar Ke Barabar ×2

Tukron Mein Jo Shabbir Ka Abbas Bata Tha
Elaan Sar-e-Dasht Yeh Tab Karte The Aada
Badle Bhi Hue Badr Ke ×2
Khaibar Ke Barabar
Uski Bhi Lahad Ban Gayi Asghar Ke Barabar
Haye Haye
Zainab Ka Jo Abbas Tha Lashkar Ke Barabar ×2

Gehna Gaya Ban Mein Bani Hashim Ka Qamar Bhi
Baad Uske Jhuki Karb Se Maula Ki Kamar Bhi
Jo Waaste Behno Ke Tha ×2
Chaadar Ke Barabar
Uski Bhi Lahad Ban Gayi Asghar Ke Barabar
Haye Haye
Zainab Ka Jo Abbas Tha Lashkar Ke Barabar ×2

Naize Se Bhi Abbas Ka Sar Girta Raha Tha
Dar-Asl Taqaza Tha Yeh Aaqa Se Wafa Ka
Kaise Woh Theherta Sar-e- ×2
Sarwar Ke Barabar
Uski Bhi Lahad Ban Gayi Asghar Ke Barabar
Haye Haye
Zainab Ka Jo Abbas Tha Lashkar Ke Barabar ×2

Be-Baazu Tha, Be-Sar Bhi Tha, Be-Ghusl-o-Kafan Tha
Rab Jaane Use Kis Tarah Abid Ne Sameta
Tadfeen Sar-e-Dasht Ki ×2
Tukron Ke Barabar
Uski Bhi Lahad Ban Gayi Asghar Ke Barabar
Haye Haye
Zainab Ka Jo Abbas Tha Lashkar Ke Barabar ×2

Shabbir Ke Lashkar Mein Sab Ashab-e-Jari The
Yeh Wasf Magar Khaas Tha Abbas Ka Haye
Lagta Tha Akela Woh ×2
Bahattar Ke Barabar
Uski Bhi Lahad Ban Gayi Asghar Ke Barabar
Haye Haye
Zainab Ka Jo Abbas Tha Lashkar Ke Barabar ×2

Jo Bughz Muhammad Se Tha, Zahra-o-Ali Se
Mazloom Hasan Aur Hussain Ibn-e-Ali Se
Ghazi Se Liye Badle ×2
Bhar Ghar Ke Barabar
Uski Bhi Lahad Ban Gayi Asghar Ke Barabar
Haye Haye
Zainab Ka Jo Abbas Tha Lashkar Ke Barabar ×2

Nauhe Ko Sahab Ek Hi Misre Mein Utara
Jab Shadman Yeh Rauza-e-Abbas Pe Bola
Haq Tha Ke Lahad Ho Teri ×2
Haider Ke Barabar
Uski Bhi Lahad Ban Gayi Asghar Ke Barabar
Haye Haye
Zainab Ka Jo Abbas Tha Lashkar Ke Barabar ×2

Abbas, Abbas, Abbas ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2019
Personalities
Hazrat Abbas, Sayyida Zainab, Imam Hussain, Ali Asghar
Occasion
Muharram
Themes
Martyrdom of Hazrat Abbas, The burial of the martyrs, Loyalty of Hazrat Abbas
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.