Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Zakhm Chupana

Mir Hasan Mir

2022Urdu
2022UrduImam HussainMuharram
Zakhm Chupana is a 2022 noha recited by Mir Hasan Mir and written by Mir Takallum. It portrays the final moments of Ali Akbar (AS) in Karbala, as he asks his father Imam Hussain (AS) to conceal his fatal wound from Bibi Zainab, Umm Layla and the grieving family. The noha reflects his compassion, sacrifice and concern for those he leaves behind.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2022
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Ya AbalFazl (a.s)

Lyrics

Zakhm Chupana Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Zakhm Chupana

Zakhm Chupana

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Zakhm Chupana

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Akbar Ne Sina Khayi Hai Un Ko Na Batana
Baba Phuphi Amma Se Mera Zakhm Chupana

Kis Tarah Se Dekhengi Woh Hum Donon Ki Ghurbat
Woh Royin To Aa Jayegi Khaimon Mein Qayamat
Main Zakhm Chhupa Leta Hoon Tum Aansu Chhupana
Baba Phuphi Amma Se Mera Zakhm Chupana

Tasveer-e-Muhammad Hai Bade Naazon Se Pali
Mar Jaye Na Khaimon Mein Meri Palne Wali
Hargiz Yeh Mera Haath Na Seene Se Hatana
Baba Phuphi Amma Se Mera Zakhm Chupana

Maari Hai Sina Seene Pe Yeh Keh Ke Laeen Ne
Phoolon Ki Tarah Pala Hai Akbar Ko Phuphi Ne
Lashe Pe Aba Khaimon Se Pehle Hi Urhana
Baba Phuphi Amma Se Mera Zakhm Chupana

Is Baar Shahadat Ko Utha Legi Imamat
Bhai Se Chhupana Nahi Ek Bhai Ki Ghurbat
Sajjad Ko Tafseel Shahadat Ki Sunana
Baba Phuphi Amma Se Mera Zakhm Chupana

Mamta Unhein Lashe Pe Mere Layegi Baba
Be-Sakhta Woh Mujhse Lipat Jayengi Baba
Mumkin Ho To Lashe Se Unhein Door Hatana
Baba Phuphi Amma Se Mera Zakhm Chupana

Jo Khaak Bhari Hai Mere Baalon Se Chhura Do
Chehre Pe Lahu Hai Mere Daman Se Hata Do
Woh Zidd Jo Zyada Karen Bas Chehra Dikhana
Baba Phuphi Amma Se Mera Zakhm Chupana

Yun Naiza Sitamgar Ne Maara Mere Baba
Pehlu Bhi Shikasta Hai Hamara Mere Baba
Yaad Aayega Dadi Ka Unhein Zakhm Purana
Baba Phuphi Amma Se Mera Zakhm Chupana

Is Haal Mein De Sabr Khuda Bint-e-Ali Ko
Akbar Ka Salam Aakhri Keh Dena Phuphi Ko
Zinda Bada Mushkil Hai Mera Khaime Mein Jaana
Baba Phuphi Amma Se Mera Zakhm Chupana

Har Baat Meri Aapki Behno Ke Liye Hai
Bas Ek Wasiyat Hai Meri Sughra Ke Liye Hai
La Kar Khat-e-Sughra Mere Lashe Pe Sunana
Baba Phuphi Amma Se Mera Zakhm Chupana

Dam Todte Akbar Ko Na Pahunche Koi Sadma
Munh Pher Ke Yun Rote Ho Maloom Hai Baba
Par Saamne Sadat Ke Aansu Na Bahana
Baba Phuphi Amma Se Mera Zakhm Chupana

Haye Us Aakhri Hichki Mein Takallum Hua Mehshar
Are Akbar Ne Kaha Haath Jo Peshani Pe Rakh Kar
Lo Hum Ko Ijazat Do Humein Door Hai Jaana
Baba Phuphi Amma Se Mera Zakhm Chupana

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2022
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Ya AbalFazl (a.s)

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.