Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Zindaan Hai Sakina Hai Andhera

Hassan Sadiq

1994Urdu
1994UrduBibi SakinaMuharram
Zindaan Hai Sakina Hai Andhera is a 1994 Urdu noha recited by Hassan Sadiq, with poetry by Rehan Azmi. It mourns the loneliness of Bibi Sakina in captivity in Shaam, her longing for her father Imam Hussain and her uncle Hazrat Abbas. Read Roman Urdu, Urdu and English lyrics.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1994
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Karbala Walon Pe

Lyrics

Zindaan Hai Sakina Hai Andhera Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Zindaan Hai Sakina Hai Andhera

Zindaan Hai Sakina Hai Andhera

Hassan Sadiq

YouTube loads when you open Listen.

Zindaan Hai Sakina Hai Andhera

Hassan Sadiq

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Zindaan hai, Sakina hai, andhera hai, jafa hai
Kya qabr ka manzar hai, ujala na hawa hai

Neend aati nahi bachchon ko jab tak na ho madar
Paas iske na madar hai, na Baba, na Chacha hai
Kya qabr ka manzar hai, ujala na hawa hai
Zindaan hai, Sakina hai...

Tumko nahi kuch dard ka ehsaas, kahan ho?
Ghere hain mujhe ranj-o-alam, tum kahan ho?
Mar jaungi zindaan ke andhere mein tadap kar
Aye mere Chacha Jaan Abbas, kahan ho?

Zindaan mein kise baali Sakina ne pukara
Us laashe sar-e-Karb-o-Bala uthne laga hai
Kya qabr ka manzar hai, ujala na hawa hai
Zindaan hai, Sakina hai...

Abbas Chacha aa ke ghar le ke chalenge
Ab dair mein jo Bibi ka bharam toot raha hai
Kya qabr ka manzar hai, ujala na hawa hai
Zindaan hai, Sakina hai...

Khamosh ho tum, kyun nahi Baba ko bulati?
Tareek zindaan mein yeh Zainab ki sada hai
Kya qabr ka manzar hai, ujala na hawa hai
Zindaan hai, Sakina hai...

Main baali Sakina ka azadar hoon Rehan
Nohe ka har ek sher Sakina ki ata hai
Kya qabr ka manzar hai, ujala na hawa hai
Zindaan hai, Sakina hai...

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1994
Personalities
Bibi Sakina, Imam Hussain, Hazrat Abbas, Sayyida Zainab
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Karbala Walon Pe

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.