Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Zuljanah Zuljanah

Mir Hasan Mir

2015Urdu
2015UrduSayyida ZainabMuharram
Zuljanah Zuljanah is a noha recited by Mir Hasan Mir for his Volume 2015 collection. In this lament, Sayyida Zainab questions Imam Hussain’s returning horse about the fate of her brother at Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2015
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Ali un Wali Ullah (a.s) — Volume 2015

Lyrics

Zuljanah Zuljanah Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Zuljanah Zuljanah

Zuljanah Zuljanah

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Zuljanah Zuljanah

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Zuljanah, Zuljanah, Zuljanah ×2
Zuljanah, Zuljanah ×2
Zuljanah, Zuljanah
Hai kahaan bhai mera, aye Zuljanah ×2
Zuljanah, Zuljanah, Zuljanah
Hai kahaan bhai mera, aye Zuljanah ×2

Zeen khaali aur rakaabon se tapakta hai lahoo
Tujh se aati hai Ghareeb-e-Karbala ke khoon ki boo
Kya Sakina ki yateemi ki khabar laaya hai tu
Khoon hai maathe pe yeh kiska mala
Zuljanah, Zuljanah, Zuljanah
Hai kahaan bhai mera, aye Zuljanah ×2

Haal aaqa ki museebat ka suna de Zuljanah
Ek behan ko uske bhai se mila de Zuljanah
Raah-e-maqtal Bint-e-Zahra ko dikha de Zuljanah
Dhoondhne jaaye kahaan Sheh ko bhala
Zuljanah, Zuljanah, Zuljanah
Hai kahaan bhai mera, aye Zuljanah ×2

Wa Hussaina ki sadaayein hain fiza mein kis liye
Surkh aandhi chal rahi hai Karbala mein kis liye
Baj rahe hain shaadiyaane ashqiya mein kis liye
Shaamiyon mein shor hai kaisa, bata
Zuljanah, Zuljanah, Zuljanah
Hai kahaan bhai mera, aye Zuljanah ×2

Dil bahut betaab tha, aaya hai jab se naamawar
Yaad Sughra aa gayi kya naujawaan ki laash par
Larte larte par gayi kya zakhmi seene par nazar
Laash par Akbar ki kya ghash aa gaya
Zuljanah, Zuljanah, Zuljanah
Hai kahaan bhai mera, aye Zuljanah ×2

Chain kaise bhai ke bin ghar mein paayengi behan
Teeron, nezon, barchhiyon ke zakhm khaayengi behan
Apne bhai ko utha kar ran se laayengi behan
Yeh bata, tishna-dahan kis jaan gira
Zuljanah, Zuljanah, Zuljanah
Hai kahaan bhai mera, aye Zuljanah ×2

Laut ke woh ghar na aaya aaj maqtal jo gaya
Fatima ka chaand bhi kya Nainawa mein kho gaya
Shaam se pehle Takallum kyun andhera ho gaya
Kya diya qabr-e-Nabi ka bujh gaya
Zuljanah, Zuljanah, Zuljanah
Hai kahaan bhai mera, aye Zuljanah ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2015
Personalities
Sayyida Zainab, Imam Hussain, Bibi Sakina, Ali Akbar, Bibi Sughra
Occasion
Muharram
Themes
Zuljanah, Farewell to Imam Hussain, Karbala, Grief of Sayyida Zainab
Original language
Urdu
Album
Ali un Wali Ullah (a.s) — Volume 2015

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.