Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aa Rahe Hain Teri Janib Aye Zameen-e-Karbala

Shadman Raza

2019Urdu
2019UrduImam HussainArbaeen
Aa Rahe Hain Teri Janib Aye Zameen-e-Karbala is an Urdu Arbaeen Noha recited by Shadman Raza, with poetry by Qamar Hasnain. The verses describe pilgrims travelling from Najaf towards Karbala and their devotion to Imam Hussain. Read the Roman Urdu sequence with Urdu and English translations.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2019
Occasion
Arbaeen
Original
Urdu

Lyrics

Aa Rahe Hain Teri Janib Aye Zameen-e-Karbala Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aa Rahe Hain Teri Janib Aye Zameen-e-Karbala

Aa Rahe Hain Teri Janib Aye Zameen-e-Karbala

Shadman Raza

YouTube loads when you open Listen.

Aa Rahe Hain Teri Janib Aye Zameen-e-Karbala

Shadman Raza

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Hussain Ya Hussain ×3
Karbala, Karbala ×8
Hum Aa Rahe Hain ×3, Karbala
Hum Aa Rahe Hain ×3, Karbala
Maula Labbaik, Aaqa Labbaik
Maula Labbaik, Aaqa Labbaik
Aa Rahe Hain Teri Jaanib Ae Zameen-e-Karbala ×2
Mashq-e-Nusrat Ke Liye
Mashq-e-Nusrat Ke Liye Hai Sar-Zameen-e-Karbala
Aa Rahe Hain Teri Jaanib Ae Zameen-e-Karbala ×2

Auratein, Bachche Hain, Boodhe Aur Jawaan Bhi Saath Hain
Qudsiyon, Jinn-o-Malak, Kaun-o-Makaan Bhi Saath Hain
Zaa'ir-e-Karb-o-Bala, Mahdi-e-Jaan Bhi Saath Hain
Hussain Ya Hussain ×2
Badh Rahe Hain Shauq Se Sab Shaaiqeen-e-Karbala
Aa Rahe Hain Teri Jaanib Ae Zameen-e-Karbala ×2
Mashq-e-Nusrat Ke Liye Hai Arbaeen-e-Karbala
Aa Rahe Hain Teri Jaanib Ae Zameen-e-Karbala ×2

Roza-e-Haider Se Hoti Hai Wafa Ki Ibtida
Maujiza Jisko Hai Samjha Yeh Hai Zahra Ki Dua
Hai Karoron Ka Juloos Aur Saath Hai Farsh-e-Aza
Hussain Ya Hussain ×2
Ab Najaf Tak Bich Gayi Hai Sar-Zameen-e-Karbala
Aa Rahe Hain Teri Jaanib Ae Zameen-e-Karbala ×2
Mashq-e-Nusrat Ke Liye Hai Arbaeen-e-Karbala
Aa Rahe Hain Teri Jaanib Ae Zameen-e-Karbala ×2

Is Ziyarat Ke Safar Mein Sahib-e-Kirdaar Hain
Parcham-e-Abbas Haathon Mein Hain Sab Bedaar Hain
Ae Imam-e-Asr Nusrat Ke Liye Tayyaar Hain
Hussain Ya Hussain
Muntaqim Ke Muntazir Hain Momineen-e-Karbala
Aa Rahe Hain Teri Jaanib Ae Zameen-e-Karbala ×2
Mashq-e-Nusrat Ke Liye Hai Arbaeen-e-Karbala
Aa Rahe Hain Teri Jaanib Ae Zameen-e-Karbala ×2

Lashkar-e-Mahdi Karo Woh Dabdaba Yeh Manzilat
Yeh Najaf Se Karbala Tak Ka Safar Hai Ma'refat
Marg Bar Taghoot Hai Yeh Marg Bar Sufiyaniyat
Hussain Ya Hussain
Nusrat-e-Mahdi Karo Zer-e-Nageen-e-Karbala
Aa Rahe Hain Teri Jaanib Ae Zameen-e-Karbala ×2
Mashq-e-Nusrat Ke Liye Hai Arbaeen-e-Karbala
Aa Rahe Hain Teri Jaanib Ae Zameen-e-Karbala ×2

Khana-e-Kaaba Ki Deewaron Se Utha Shor-o-Shain
Aasmaan Ko Dekhta Hai Fatima Ka Noor-e-Ain
Hajj Ko Umre Mein Badal Kar Chal Diye Maula Hussain
Hussain Ya Hussain ×2
Aazimeen-e-Hajj Hue Hain Aazimeen-e-Karbala
Aa Rahe Hain Teri Jaanib Ae Zameen-e-Karbala ×2
Mashq-e-Nusrat Ke Liye Hai Arbaeen-e-Karbala
Aa Rahe Hain Teri Jaanib Ae Zameen-e-Karbala ×2

Parda-e-Ghaibat Uthega Mere Maula Aayenge
Gar Bulaya Aapne Paidal Bhi Chal Kar Jaayenge
Saath Mein Maa Baap Bachche Aur Bhai Laayenge
Hussain Ya Hussain ×2
Kar Qubool In Zehmaton Ko Ae Makeen-e-Karbala
Aa Rahe Hain Teri Jaanib Ae Zameen-e-Karbala ×2
Mashq-e-Nusrat Ke Liye Hai Arbaeen-e-Karbala
Aa Rahe Hain Teri Jaanib Ae Zameen-e-Karbala ×2

Ek Majlis Hogi Rozon Par Pahunch Kar Aur Bain
Ek Taraf Abbas Honge Ek Taraf Maula Hussain
Kaisa Girya Hoga Kya Zakir Ki Hogi Zeb-o-Zain
Hussain Ya Hussain
Ek Jagah Honge Bahattar Saami'een-e-Karbala
Aa Rahe Hain Teri Jaanib Ae Zameen-e-Karbala ×2
Mashq-e-Nusrat Ke Liye Hai Arbaeen-e-Karbala
Aa Rahe Hain Teri Jaanib Ae Zameen-e-Karbala ×2

Chauda Farsakh Tak Humein Khaana Khilata Kaun Hai
Zaa'ir-e-Shabbir Ko Paani Pilata Kaun Hai
Saaf Joote Kar Ke Yeh Aansoo Bahata Kaun Hai
Hussain Ya Hussain ×2
Allah Allah Dekho Shaan-e-Zaa'ireen-e-Karbala
Aa Rahe Hain Teri Jaanib Ae Zameen-e-Karbala ×2
Mashq-e-Nusrat Ke Liye Hai Arbaeen-e-Karbala
Aa Rahe Hain Teri Jaanib Ae Zameen-e-Karbala ×2

Ho Sharaf Haasil Ziyarat Ka Qamar Maango Dua
Shadmaan Har Ek Qadam Par Bas Yehi Hai Sochta
Roza-e-Abbas Dekhoonga To Haalat Hogi Kya
Hussain Ya Hussain ×2
Saamne Jab Aayegi Mere Zameen-e-Karbala
Aa Rahe Hain Teri Jaanib Ae Zameen-e-Karbala ×2
Mashq-e-Nusrat Ke Liye Hai Arbaeen-e-Karbala
Aa Rahe Hain Teri Jaanib Ae Zameen-e-Karbala ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2019
Personalities
Imam Hussain, Hazrat Abbas, Imam Ali, Imam Mahdi, Sayyida Fatima Zahra
Occasion
Arbaeen
Themes
Arbaeen pilgrimage, Najaf to Karbala, Ziyarat of Imam Hussain, Devotion to Imam Mahdi
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.