Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aao Azadaron

Irfan Haider

2005Urdu
2005UrduHazrat AbbasMuharram
Aao Azadaron is an Urdu noha recited by Irfan Haider, reflecting on raising Hazrat Abbas's alam and remembering the martyrs of Karbala. Read the Roman Urdu text, Urdu script and English meaning.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2005
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Bibi Zehra Yeh Dua Hai

Lyrics

Aao Azadaron Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aao Azadaron

Aao Azadaron

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Aao Azadaron

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Abbas Alamdar (×3)
Ab tak hai zabaanon pe Alamdar Alamdar
Aye qafila-e-Shah ke salar Alamdar
Abbas Alamdar (×3)

Ek sada kaanon mein abhi tak goonj rahi hai, logo suno
Yeh hai sada Khatoon-e-Jinan ki, hum bhi kahein aur tum bhi kaho
Kyun na kahein Irfan aur Mazhar (×2)
Aao dua Zehra ki paayein

Aao azadaron, aao alam Ghazi ka uthayein (×2)

Yeh woh alam hai jis ka pharera Sani-e-Zehra ki chadar hai
Haan, yeh alam jis ghar pe laga ho, saaya-e-Zehra mein woh ghar hai
Kya hai alam, kya is ki ataa hai (×2)
Aao zamaane bhar ko bataayein

Aao azadaron, aao alam Ghazi ka uthayein (×2)

Aao zamaane bhar ko bataayein, hum pe Abu Talib ka karam hai
Paas nahin aayega koi gham, saaya-fagan jab tak yeh alam hai
Aao alam ke saaye mein aao (×2)
Gham ka har ek ehsaas mitaayein

Aao azadaron, aao alam Ghazi ka uthayein (×2)

Gham ka har ek ehsaas mita kar, pyaar karein Sarkar-e-Wafa se
Pyaar ke badle pyaar milega, tumko Nabi se aur Khuda se
Saath chalein hum kyun duniya ke? (×2)
Duniya to apne saath chalaayein

Aao azadaron, aao alam Ghazi ka uthayein (×2)

Duniya hamaare saath chalegi aur qiyadat Sher-e-Jari ki
Saare aalam jhuk jaayenge phir to, baat rahegi ek alam ki
Khwaab yehi tha Bint-e-Ali ka (×2)
Kyun na ise taabeer banaayein

Aao azadaron, aao alam Ghazi ka uthayein (×2)

Khwaab ko jab taabeer milegi, qaul yeh poora hoga kisi ka
Koi kahega mera hai Maula, koi kahega mera hai Maula
Aayengi phir har ghar se yaqeenan (×2)
Nohe ki aur maatam ki sadaayein

Aao azadaron, aao alam Ghazi ka uthayein (×2)

Nohe ki aur maatam ki sada se goonj raha hoga yeh zamaana
Saara jahaan yeh baat kahega, Nad-e-Ali hai qaumi taraana
Qaumi alam aur qaumi parcham (×2)
Dono mein hai jo farq mitaayein

Aao azadaron, aao alam Ghazi ka uthayein (×2)

Dono mein hai jo farq mitaane, ghar se chale the Sibt-e-Payambar
Chand jawaan aur kuch bachchon se Shah ne diya tarteeb ek lashkar
Aao usi lashkar ki yaadein (×2)
Saare jahaan ke dil mein jagaayein

Aao azadaron, aao alam Ghazi ka uthayein (×2)

Saare jahaan ke dil mein jagaayein yaad usi Ashoor ki shab ki
Ek alam tha aas wahaan par, baali Sakina aur Zainab ki
Aas bana jo Ahl-e-Haram ki (×2)
Hum bhi usi se aas lagaayein

Aao azadaron, aao alam Ghazi ka uthayein (×2)

Aas gayi farzand-e-Ali ki jab yeh alam maqtal mein gira tha
Ek taraf Shabbir aur Zainab (×2)
Ek taraf Sadaat ka noha
Haye qafila-e-Shah ke salar Alamdar
Abbas Alamdar (×3)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2005
Personalities
Hazrat Abbas, Sayyida Fatima Zahra, Imam Hussain, Sayyida Zainab, Bibi Sakina
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Bibi Zehra Yeh Dua Hai

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.