Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ahista Chalo

Irfan Haider

2014Urdu
2014UrduImam HussainMuharram
Ahista Chalo is an emotional noha recited by Irfan Haider, portraying the suffering of Bibi Sakina (SA) during the captives' journey from Karbala to Shaam. Bound by a rope around her neck, the young daughter of Imam Hussain (AS) pleads with her aunt Bibi Zainab (SA) to walk slowly, recalling the comfort and protection she once received from her family. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2014
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu
Album
Aie Gul E Narjis Biya Biy, Vol. 22

Lyrics

Ahista Chalo Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ahista Chalo

Ahista Chalo

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Ahista Chalo

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye...

Damishq Ka Hai Safar, Be-Rida Hai Aal-e-Nabi
Na Mehmil Hai, Na Kajawa Hai, Na Hawdaj Hai Koi
Aseer Sab The Magar Ek Hi Rasan Mein Bandhe
Gala Sakina Ka Hai Shan-e-Haram Ke Jakde Hue
Rasan Jo Khinchti Hai Karti Hai Sakina Naale

Thehro, Ahista Chalo (×3)

Ahista Chalo Ae Phuphi Amma, Rassi Se Gala Ghutta Hai Mera
Ahista Chalo (×2)

Ae Amma Gala Is Tarah Jakda Hai Rasan Mein
Do Gaam Bhi Chalne Ki Nahi Jaan Badan Mein (×2)
Khulwa Do Rasan (×2)
Kar Do Yeh Ehsaan, Rassi Se Gala Ghutta Hai Mera
Ahista Chalo Ae Phuphi Amma, Rassi Se Gala Ghutta Hai Mera
Ahista Chalo (×2)

Kis Shaan Se Nikli Thi Sawari Mere Ghar Se
Ammu Mujhe Khud Laaye The Mehmil Mein Bitha Ke (×2)
Ek Yeh Hai Safar (×2)
Haaye Phuphi Jaan, Rassi Se Gala Ghutta Hai Mera
Ahista Chalo Ae Phuphi Amma, Rassi Se Gala Ghutta Hai Mera
Ahista Chalo (×2)

Yeh Dekh Ke Rote Hain Mere Baba Sina Par
Rone Pe Mujhe Durre Lagata Hai Sitamgar (×2)
Rote Hain Isi (×2)
Gham Mein Chacha Jaan, Rassi Se Gala Ghutta Hai Mera
Ahista Chalo Ae Phuphi Amma, Rassi Se Gala Ghutta Hai Mera
Ahista Chalo (×2)

Kya Din Hain Mere, Naaz Uthata Nahi Koi
Amma Meri Saanson Ka Bharosa Nahi Koi (×2)
Chehre Se Aziyat Hai (×2)
Numayan, Rassi Se Gala Ghutta Hai Mera
Ahista Chalo Ae Phuphi Amma, Rassi Se Gala Ghutta Hai Mera
Ahista Chalo (×2)

Main Aapke Zakhmon Se Bhi Waqif Hoon Phuphi Jaan
Kuch Wade Nibhane Hain Mujhe Bar-Sar-e-Zindaan (×2)
Bas Kehti Hoon Main, Bas Kehti Hoon
Ba-Haal-e-Pareshan, Rassi Se Gala Ghutta Hai Mera
Ahista Chalo Ae Phuphi Amma, Rassi Se Gala Ghutta Hai Mera
Ahista Chalo (×2)

Mar Jayegi, Mar Jayegi Is Raah Mein Muztar
Dada Ko Sada Deti Hoon Har Gaam Tadap Kar (×2)
Ya Shah-e-Najaf (×2)
Sayyed-e-Zeeshan, Rassi Se Gala Ghutta Hai Mera
Ahista Chalo Ae Phuphi Amma, Rassi Se Gala Ghutta Hai Mera
Ahista Chalo (×2)

Ae Amma Kaleje Mein Ulajhne Lagi Saansein
Ab Aur Safar Karne Ki Taqat Nahi Mujh Mein (×2)
Ja Paungi Kya (×2)
Janib-e-Zindaan, Rassi Se Gala Ghutta Hai Mera
Ahista Chalo Ae Phuphi Amma, Rassi Se Gala Ghutta Hai Mera
Ahista Chalo (×2)

Ae Mazhar-o-Irfan Sakina Ki Fughaan Par
Zainab Ne Kaha Main Bhi Tadap Jaati Hoon Dukhtar (×2)
Jab Kehti Hai Tu (×2)
Mujhse Meri Jaan, Rassi Se Gala Ghutta Hai Mera
Ahista Chalo Ae Phuphi Amma, Rassi Se Gala Ghutta Hai Mera
Ahista Chalo (×2)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2014
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Themes
Aseeri-e-Ahlulbayt
Original language
Urdu
Album
Aie Gul E Narjis Biya Biy, Vol. 22

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.