Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ajeeb Hai Dastan-e-Gham

Sachey Bhai

Urdu
UrduProphet MuhammadMuharram
Ajeeb Hai Dastan-e-Gham is an Urdu noha reflecting on the suffering of the Prophet’s family and the tragedy of Karbala. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Ajeeb Hai Dastan-e-Gham Lyrics

WA

Ajeeb Hai Dastane Gham Ajeeb Hai
Nabi Ki Itrat Pe Ye Sitam Ajeeb Hai

Hotay Hi Band Ankh Nabi Ki
Bhool Gaye Sab Qaul O Qarar
Chorh Gaye Bay Gor O Kafan
Laasha Jitnay Thay Yaaray Ghaar
Takhtay Mohamad Ki Chahat Mai Ishqay Mohammad Bhula Dia

Bhoolnay Waali Baat Nahi Thi
Ghar Ghar Iska Charcha Tha
Ye Toh Kal Ki Baat Thi Khud Apni
Aankhon Se Dekha Tha
Molaayi Ka Taaj Nabi Nay Khum May Kisko Ata Kiya

Aik Hi Noor Ke Doh Tukray Hain
Aik Mohammad Aik Ali
Dono Hain Mehboobay Elahi
Dono Ko Mairaj Huwi
Aik Ko Haq Ne Kardiya Zaahir Ek Parday May Chupa Diya

Zindabad Ay Jazbaye Matam
Mehnat Ab Rang Laayi Hai
Chauda Sau Saala Nafrat
Ab Khul Kar Saamnay Aayi Hai
Aaj Yazeediyat Ne Parda Rukh Se Apne Hata Diya

Tehr Nahi Saktay Thay Baghaire
Izn Farishtay Jis Dar Par
Naqshay Nishanay Paaye Mohammad
Sakht Thay Jiski Chaukat Par
Waaey Musalmano Ho Tum Par Tumnay Wo Dar Jala Diya

Haathon May Hai Shimr Ke Khanjar
Zanu Ke Neechay Hain Hussain
Khaimay Ke Dar Par Karti Hai
Zainab Sar Kholay Huway Bayn
Baba Ab Tum Kab Aaoge Bhai Ka Kat-Ta Hai Gala

Sar Ko Tan Se Juda Kiya
Sar Charha Diya Phir Naizay Par
Laashon Par Ghoray Daurhaaye
Bujhi Na Dil Ki Aag Magar
Kalma Goyo Ne Khud Apne Nabi Ke Ghar Ko Jala Diya

Aise May Ek Bachi Nikli
Khaimo Se Ghabrayi Huwi
Khoon Tapakta Tha Kaano Se
Rukh Pe Yateemi Chaayi Huwi
Kaamp Rahi Thi Khauf Se Wo Aur Shimr Tamachay Maarta Tha

Daman May Thi Aag Lagi Aur
Suway Najaf Tha Rukh Uska
Roti Thi Chillaati Thi
Aur Deti Thi Baba Ko Sada
Rooth Gaye Kyun Aap Sakina Se Baba Kya Ki Thi Khata

Bayn Sakina Ke Sun Sun Kar
Tharraati Thi Laashay Hussain
Saahil Par Ek Laasha
Uth Uth Parhta Tha Hokar Bay Chayn
Aati Thi Reh Reh Ke Sada Jab Aajao Aajao Chacha

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Prophet Muhammad, Imam Ali, Imam Hussain, Sayyida Zainab, Bibi Sakina, Hazrat Abbas
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
AZH Bayaz devotional poetry
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.