Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ajeeb Zid Hai Ke Islam Aal Se Mat Lo

Sachey Bhai

Urdu
UrduProphet MuhammadMuharram
Ajeeb Zid Hai Ke Islam Aal Se Mat Lo is an Urdu noha reflecting on loyalty to the Prophet’s family and remembrance of Imam Hussain. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Ajeeb Zid Hai Ke Islam Aal Se Mat Lo Lyrics

WA

Ajeeb Zid Hai Ke Islam Aal Se Mat Lo
Har Aik Ki Baat Suno Har Kisi Se Fatwa Lo
Kahein Jo Aalay Payambar Ussay Kabhi Na Suno
Jo Sheheray Ilm Ka Dar Hai Udhar Ka Rukh Na Karo
Suni Sunaayi Huwi Baat Par Yaqeen Karlo

Zabaan Pe Laao Na Hargiz Nabi Ki Aal Ka Naam
Jhukao Ghayr Ke Dar Par Jabeen Ko Subho Shaam
Ye Ahle Bayt Hain Bas Laa’iqay Durood O Salam
Inhay Toh Door Hi Se Bas Salam Kartay Raho

Ghatao Martaba E Aalay Mustafa Din Raat
Usoolay Kasratay Aaraa Se Inko Dedo Maat
Ye Inteha E Adawat Hai Ke Har Ek Woh Baat
Jo Unnkay Haq May Kahee Jaye Usko Kufr Kaho

Khuda Ke Wastay Iss Zid Se Baaz Aajao
Jahaan May Dushmanay Aalay Nabi Na Kehlao
Gala Kata Chukay Shabbir Kuch Taras Khaao
Nabi Ki Aal Pe Ab Toh Sitam Rawaa Na Rakho

Ye Ahle Bayt Hain Haasil Inhay Ye Azmat Hai
Ke Lab Pay Naam Bhi Aajaye Toh Ibadat Hai
Ye Kaisi Zid Hai Ilaahi Ye Kya Qayamat Hai
Ke Din Ko Din Na Kaha Raat Ko Na Raat Kaho

Har Aik Bashar Ko Ye Haasil Kahan Sa’adat Hai
Jali Huroof Se Quran May Ibarat Hai
Ke Sirf Aalay Ibrahim May Imamat Hai
Wahan Bhi Shart Rakhi Hai Na Zalimeen May Ho

Hai Aal Rooh Aur Islam Uska Qalib Hai
Qadam Qadam Pe Woh Inki Raza Ka Talib Hai
Hai Kaun Jispay Durood O Salam Wajib Hai
Koyi Nazar May Tumhari Ho Aur Bhi Toh Kaho

Zabaan Se Kehtay Ho Dil Se Yaqeen Gar Hojaye
Khum Ahle Bayt Ki Chaukat Pe Tera Sar Hojaye
Mein Karbala Kahoon Aur Teri Chashm Tar Hojaye
Azeez Jaan Se Zyaada Husain Ka Gham Ho

Husain Jaanay Dilay Mustafa Pe Jaan Nisaar
Nazar May Taab Kahan Hai Jo Dekhay Haalatay Zaar
Tanay Hazeen Pe Hain Kitnay Sinaan O Teer Ke Waar
Shumaar Karnay Pe Aayein Magar Shumaar Na Ho

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Prophet Muhammad, Imam Ali, Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
AZH Bayaz devotional poetry
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.