Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ali Ali Hai Zabaan Par Kabhi Husain Husain

Sachey Bhai

Urdu
UrduImam AliMuharram
Ali Ali Hai Zabaan Par Kabhi Husain Husain is an Urdu noha reflecting on devotion to Imam Ali and Imam Hussain. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Ali Ali Hai Zabaan Par Kabhi Husain Husain Lyrics

WA

Ali Ali Hai Zabaan Par Kabhi Husain Husain

Ali Ke Zikr Ko, Aabay Baqa Samajtay Hain
Hum Aap Inki Fazeelat Ko Kya Samajtay Hain
Khuda Samajta Hai, Ya Mustafa Samajtay Hain
Nahi Samajtay Jo Inko, Khuda Samajtay Hain

Khuda Nahi Hai Magar, Wajhay Kirdigaar Toh Hai
Ye Doh Jahaan May Khudayi Ka Aitebaar Toh Hai
Jahaan May Doshay Payambar Ka Sheh Sawaar Toh Hai
Raza E Haq Pe Inhay Poora Ikhteyaar Toh Hai

Ohad Ki Jang May, Dekhay Ajab Ajab Kirdaar
Kaheen Hai Zikray Shuja’at Kaheen Hai Zikray Faraar
Zameen Se Taa Ba Falak Hai Ali Ali Ki Pukaar
Utar Rahay Hain Mala’ik Liye Huway Talwaar

Samaj Saka Na Zamana Maqamay Ahle Bayt
Kalaamay Haq Hee Samajtay Kalaamay Ahle Bayt
Jaga Jaga Pe Sunaao Payam E Ahle Bayt
Karo Jahaan May Raa’ij Nizaam E Ahle Bayt

Ye Woh Nahi Jinhay, Dunya Khareed Sakti Hai
Ye Woh Hain Jinkay Tasaduq May Khalq Palti Hai
Sunay Woh Jinko Mohabbat Ali Ki Khalti Hai
Qadam Se Inkay Shariyat Nabi Ki Chalti Hai

Nabi Ke Saath Jo, Rehtay Thay Uss Zamanay May
Wohi Thay Aalay Mohammad Ka Ghar Jalanay May
Kuch Aise Naam Bhi Shaamil Hain Iss Fasanay May
Hijaab Aata Hai Ab Tak Humay Batanay May

Dua E Fatima Zehra Hai Jab Talak Qayam
Na Ruk Sakega Kisi Se Husain Ka Matam
Sunay Zamana Hai Jab Tak Humaray Dum May Dum
Rakhengay Yoonhi Buland Hum Husain Ka Parcham

Kasar Kisi Ne Na Chori Humay Mitanay May
Khuda Hi Apna Muhafiz Tha Har Zamanay May
Ye Rok Tok Hai Kyun Sheh Ka Gham Mananay May
Yazid Kya Abhi Zinda Hai Iss Zamanay May

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Imam Ali, Imam Hussain, Prophet Muhammad, Sayyida Fatima Zahra
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
AZH Bayaz devotional poetry
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.