Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Jane Kyun Naizon Se Ik Sar Talash Karte Hein

Kazmi Brothers

2026Urdu
2026Urdu
Jane Kyun Naizon Se Ik Sar Talash Karte Hein is a 2026 noha by Kazmi Brothers about the tragedy of infant Ali Asghar (AS), Bibi Rabab (SA) and the devastation of Karbala. Read Roman Urdu, Urdu and English lyrics on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2026
Original
Urdu
Album
Moharram Album 2026-1448

Lyrics

Jane Kyun Naizon Se Ik Sar Talash Karte Hein Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Jane Kyun Naizon Se Ik Sar Talash Karte Hein

Jane Kyun Naizon Se Ik Sar Talash Karte Hein

Kazmi Brothers

YouTube loads when you open Listen.

Jane Kyun Naizon Se Ik Sar Talash Karte Hein

Kazmi Brothers

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Jalte Jhoolay Ki Raakh Pe Baithi
Maa Ki Nazrein Hain Naizon Walon Par

Jaane Kyun Naizon Se Ik Sar Talash Karte Hain
Woh Maa Ke Saamne Asghar Talash Karte Hain

Hai Sheer-Khwar Ka Khyber-Shikan Ka Sar To Nahin
Jise Yazeed Ke Lashkar Talash Karte Hain

Laeen Naizon Se Asghar Talash Kar Ke Bhi
Zibah Ke Waaste Khanjar Talash Karte Hain

Woh Naize Jin Pe Hai Asghar Tera Lahoo Taaza
Woh Ab Rabab Ki Chadar Talash Karte Hain

Sakina Kaise Jhulaati Thi Jhoola-e-Asghar
Hussain Ro Ke Woh Manzar Talash Karte Hain

Woh Muskuraane Ka Lete Hain Is Tarah Badla
Woh Uski Laash Ko Hans Kar Talash Karte Hain

Woh Aise Maar Rahe Hain Zameen Par Naize
Ke Jaise Sar Nahin Patthar Talash Karte Hain

Chhupa Liya Na Ho Teeron Ke Darmiyan Kahin
Woh Shah Ke Seene Ke Oopar Talash Karte Hain

Batool Nauhe Pe Mujhko Woh Ajr Dengi Raza
Jise Tamaam Sukhanwar Talash Karte Hain

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2026
Original language
Urdu
Album
Moharram Album 2026-1448

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.