Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Awaz Do Ali Akbar

Kazmi Brothers

2026Urdu
2026Urdu
Awaz Do Ali Akbar is a 2026 noha by Kazmi Brothers portraying Imam Hussain (AS) searching for his son Ali Akbar (AS) on the battlefield of Karbala. Explore the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2026
Original
Urdu
Album
Moharram Album 2026-1448

Lyrics

Awaz Do Ali Akbar Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Awaz Do Ali Akbar

Awaz Do Ali Akbar

Kazmi Brothers

YouTube loads when you open Listen.

Awaz Do Ali Akbar

Kazmi Brothers

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ayeena Ayeena Ali Akbar
Awaz Do Ae Ali Akbar, Awaz Do
Jaati Hai Meri Jaan, Maqtal Mein Hai Dhuan
Beta Ho Tum Kahan

Maara Hai Kis Tarah Se Tumhein Sochta Hoon Main
Patthar Hata Hata Ke Tumhein Dhoondta Hoon Main
Chaaron Taraf Hai Khoon
Milta Nahin Sukoon
Laashon Ke Darmiyan

Kuchh Bhi Dikhai Deta Nahin Main Ghareeb Hoon
Khushboo Se Lag Raha Hai Tumhare Qareeb Hoon
Ae Mere Dil Ke Chain
Aankhon Ke Noor-e-Ain
Ab Na Lo Imtihaan

Maine Suna Hai Ghode Se Tum Khud Nahin Gire
Ae Mere Laal Baalon Se Kheencha Gaya Tumhein
Tum Ho Yaheen Kaheen
Kyun Bolte Nahin
Khamosh Hai Zubaan

Kaise Gire Ho Mujhko Batao To Zeen Se
Lagta Hai Tumne Khai Hai Barchhi Laeen Se
Chehra Bhi Zard Hai
Seene Mein Dard Hai
Kuchh To Karo Bayaan

Maqtal Mein Aate Aate Bhi Maara Gaya Mujhe
Dooba Hua Hoon Khoon Mein Patthar Ke Zakhm Se
Zakhmi Hai Yeh Jigar
Dekho Mere Pisar
Chehre Pe Hain Nishaan

Himmat Karo Zara Si Kaleje Ko Thaam Kar
Hai Waqt-e-Asr Jaago Mere Naujawan Pisar
Laila Ki Aas Hai
Zainab Udaas Hai
Do Aakhri Azaan

Tum Khud Ali Ho Beta Zara Hausla Karo
Badhne Laga Hai Dard To Naad-e-Ali Padho
Aankhein Hain Meri Nam
Sughra Ki Hai Qasam
Ragdo Na Aidiyan

Do Maaon Ne Jawan Kiya Tumko Paal Kar
Khaimon Mein Ja Ke Kaise Milaunga Main Nazar
Main Unse Kya Kahoon
Behta Hai Tera Khoon
Kaise Sahegi Maa

Arsalan Ro Ke Kehta Raha Yeh Mera Imam
Beta Hamare Haal Pe Hansti Hai Fauj-e-Shaam
Dhundhla Hai Sab Jahan
Hai Surkh Aasmaan
Chalti Hain Aandhiyan

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2026
Original language
Urdu
Album
Moharram Album 2026-1448

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.