Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Tu Be Kafan Hai Baba Or Mein Hoon Be Rida

Kazmi Brothers

2026Urdu
2026Urdu
Tu Be Kafan Hai Baba Or Mein Hoon Be Rida is a 2026 Urdu noha recited by Kazmi Brothers, expressing the suffering of Bibi Sakina (SA) as she addresses Imam Hussain (AS) after Karbala. Read its Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2026
Original
Urdu
Album
Moharram Album 2026-1448

Lyrics

Tu Be Kafan Hai Baba Or Mein Hoon Be Rida Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Tu Be Kafan Hai Baba Or Mein Hoon Be Rida

Tu Be Kafan Hai Baba Or Mein Hoon Be Rida

Kazmi Brothers

YouTube loads when you open Listen.

Tu Be Kafan Hai Baba Or Mein Hoon Be Rida

Kazmi Brothers

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Tu Be Kafan Hai Baba Aur Main Hoon Be Rida
Naize Pe Sar Tumhara, Rasan Mein Mera Gala

Ruk Jaane Pe Lagaye Durre Mujhe Laeen Ne
Chalti Hoon To Rasan Se Ghutta Hai Dam Mera

Hum Sar Se Paaon Tak Hain Zakhmon Se Choor Donon
Patthar Tumhein Laga Hai, Durra Mujhe Laga

Har Ek Qadam Pe Humko Maare Gaye Tamaanche
Zakhmi Hain Gaal Mere, Zakhmi Hai Sar Tera

Ungli Tumhari Kaati Angoothi Ki Khatir
Do Baaliyon Ki Khatir Maara Mujhe Gaya

Zalim Ne Jab Pukara Mujhko Kaneez Keh Kar
Deti Rahi Main Baba Ro Kar Tumhein Sada

Aisa Safar Na Dekhein Ab Koi Baap Beti
Kaanton Pe Main Chali Hoon, Naize Pe Tu Chala

Naize Se Is Liye Bhi Girta Hai Sar Chacha Ka
Mujhko Gira Gira Ke Hanste Hain Ashqiya

Khaak-e-Shifa Bana Hai Baba Kafan Tumhara
Mera Kafan Bana Hai Kurta Jala Hua

Arsalan Yeh Masaib Sajjad Ne Sune The
Chalees Saal Uski Aankhon Se Khoon Baha

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2026
Original language
Urdu
Album
Moharram Album 2026-1448

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.