Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ameer-e-Lashkar-e-Hussain

Sachey Bhai

Urdu
UrduHazrat AbbasMuharram
Ameer-e-Lashkar-e-Hussain is an Urdu noha reflecting on Hazrat Abbas’s loyalty as the standard-bearer of Imam Hussain. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Ameer-e-Lashkar-e-Hussain Lyrics

WA

Ameere Lashkare Hussain

Hizabray Dashtay Nainawa Ameeray Lashkary Hussain
Nihangay Qulz May Wagha Ameeray Lashkaray Hussain
Khadangay Tarkashay Qaza Ameeray Lashkaray Hussain
Ba Rangay Shaahay La Fatha Ameeray Lashkaray Hussain
Jari Dilayr Bawafa Ameeray Lashkaray Hussain
Wafa Ba Hadday Maujeza Ameeray Lashkaray Hussain

Ye Zulfiqar E Haidery Ye Sheray Bay Shahay Najaf
Ye Taigh Taiz Hashimi Nishaanay Jurratay Salaf
Har Ek Ka Markazay Nazar Kafeelay Tashna Gaanay Taf
Kanaray Neheray Al Qama Tamam Fauj Ka Hadaf
Kisi Se Par Na Ruk Saka Ameeray Lashkaray Hussain

Bahaduraanay Saf Shikan May Iss Jari Ke Tazkiray
Dilawaraanay Taigh Zan May Iss Jari Ke Tazkiray
Har Ek Wafa Ki Anjuman May Iss Jari Ke Tazkiray
Rasoolay Paak Ke Chaman May Iss Jari Ke Tazkiray
Ghurooray Aalay Mustafa Ameeray Lashkaray Hussain

Husain Meeray Qafila Ye Qafilay Ka Paasbaa(N)
Kabhi Qareebay Raahela, Kabhi Qareebay Saarbaa(N)
Kabhi Barha Kay Asp Ko Wahan Jahan Amaariyaa(N)
Kabhi Salaam Ke Liye Huzooray Shaahay Ins O Jaa(N)
Har Aik Soo Har Aik Jaa Ameeray Lashkaray Husain

Hussain Ka Akhi Bhi Hai Hussain Ka Ghulam Bhi
Hussain Ki Sipar Bhi Hai Tabar Bhi Hai Husaam Bhi
Hussain Ki Zira Bhi Hai Qama Bhi Hai Sihaam Bhi
Hussain Hukm Dein Agar To Shimr Se Kalaam Bhi
Wagar Na Woh Kuja Kuja Ameeray Lashkaray Hussain

Hussain Izn Dein Agar Abhi Ye Sab Ko Dekh Lay
Abhi Iraq O Shaam Ko Abhi Halab Ko Dekh Lay
Abhi Abhi Ye Koofiyanay Bay Adab Ko Dekh Lay
Muqabila Jo Aa Parhay Toh Kul Arab Ko Dekh Lay
Misaalay Shaahay La Fatha Ameeray Lashkaray Hussain

Ishara E Imam Ho Toh Fatha May Dhara Hai Kya
Shoa E Meher Ke Liye Ye Shaam Ki Ghata Hai Kya
Furaat Tak Na Jaanay De Kisi May Hausla Hai Kya
Ali Ke Sher Ke Liye Ye Jangay Karbala Hai Kya
Ulat De Takht Shaam Ka Ameeray Lashkaray Hussain

Jo Marziye Husain Ho Toh Faujay Shaam Haich Hai
Ye Dushmano(N) Ka Ijtema, Ye Izhdehaam Haich Hai
Furaat Par Ye Bandishei(N) Ye Intezaam Haich Hai
Ali Ke Ghar Se Badr Ka Ye Inteqaam Haich Hai
Dekha De Zoray La Fatha Ameeray Lashkaray Husain

Yazeeday Bad Nihaad Se Sukoonay Zaat Cheen Lay
Muhafizeen E Nehr Se Haq E Hayaat Cheen Lay
Jo Marziye Hussain Ho Abhi Furaat Cheen Lay
Furaat Kya Hai Ye Woh Hai Ke Kaayenat Cheen Lay
Barha Baland Hausla Ameeray Lashkaray Hussain

Magar Yahan To Hukm Hai Ke Bas Ali Ke Sher Bas
Hussain Apni Zindagi Se Ho Chuka Hai Sayr Bas
Qareebay Waqtay Asr Hai Bas Ab Mere Dilayr Bas
Hamaray Kooch May Kahin Mazeed Ho Na Dayr Bas
Karega Taa Ba Qay Wagha Ameeray Lashkaray Hussain

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Hazrat Abbas, Imam Hussain, Imam Ali, Prophet Muhammad
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
AZH Bayaz devotional poetry
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.