Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ammu Nahi Aaye

Sachey Bhai

Urdu
UrduBibi SakinaMuharram
Ammu Nahi Aaye is an Urdu Kalam. Sakina waits for her uncle Abbas to return with water, fearing for him and the thirsty children. Read the Roman Urdu, Urdu-script text and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Ammu Nahi Aaye Lyrics

WA

Ammu Nahi Aaye
Kehti Thi Ye Ro Ro Ke Sakina Mere Baba Ammu Nahi Aaye
Mein Kab Se Khari Dekhti Hoon Raasta Unka Ammu Nahi Aaye

Aye Kaash Na Mein Bhejti Saahil Pe Chacha Ko
Aameen Kahein Haath Utha Tii Hoon Dua Ko
Ghar Khair Se Aajayein Chacha Jaan Khudaya

Kab Mashk O Alam Lekay Suway Neher Gaye Thay
Aur Dekay Gaye Thay Mujhe Kya Kya Woh Dilaasay
Sab Bhool Gaye Neher Ka Paaya Jo Kanara

Kooza Liye Haathon May Saray Raah Khari Hoon
Hai Sochna Dushwaar Magar Soch Rahi Hoon
Shayad Unhay Mujhse Bhi Hai Zyada Koyi Pyara

Kehtay Thay Ke Darya Se Abhi Laata Hoon Pani
Kuch Der Jo Hojaye Toh Rona Nahi Jaani
Khaimay Se Zara Door Hai Darya Ka Kanara

Koyi Unhay Deday Mera Paigham Zabani
Aa Jao Chacha Ab Mai Nahi Maangoongi Pani
Gham Se Phata Jaata Hai Mera Aah Kaleja

Reh Reh Ke Mera Seenay May Kat Ta Hai Kaleja
Maidan Se Lauta Nahi Ab Tak Mera Saqqa
Mashkeeza Chida Khoon May Hai Tar Alam Aaya

Mai Darti Hoon Allah Bura Waqt Na Laaye
Kuch Der Jo Darya Se Abhi Aur Na Aaye
Dam Torh Na De Jhoolay May Asghar Kahin Pyasa

Kyun Takti Hain Hasrat Se Phuphi Jaan Rida Ko
Kya Hogaya Darya Pe Bata Aye Zara Mujhko
Kis Ke Liye Rota Hai Ye Kunba Mera Saara

Aisa Na Ho Aada Ne Unhay Ghayr Liya Ho
Mashkeeze Pe Teer Aaya Ho Seenay Pe Laga Ho
Saahil Pe Kahin Doob Gaya Ho Na Safeena

Yawar Ye Buka Karti Thi Ro Ro Ke Sakina
Ammu Ki Khabar Lee Jiye Ya Shaahay Madina
Ammu Ke Baghayr Ab Mera Dushwaar Hai Jeena

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Bibi Sakina, Hazrat Abbas, Ali Asghar
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.